Mohabbaton Mein Dikhaawe Ki Dosti Na Mila Ghazal by Bashir Badr

Mohabbaton Mein Dikhaawe Ki Dosti Na Mila

Explore the poignant verses of Mohabbaton Mein Dikhaawe Ki Dosti Na Mila Ghazal by Bashir Badr, as he delves into the complexities of love and the elusive nature of human connections. His poetry contemplates the depths of relationships, showcasing the bittersweet experiences of yearning, separation, and the search for true companionship.”

मोहब्बतों में दिखावे की दोस्ती न मिला हिन्दी में

मोहब्बतों में दिखावे की दोस्ती न मिला
अगर गले नहीं मिलता तो हाथ भी न मिला

घरों पे नाम थे नामों के साथ ओहदे थे
बहुत तलाश किया कोई आदमी न मिला

तमाम रिश्तों को मैं घर पे छोड़ आया था
फिर उस के बा’द मुझे कोई अजनबी न मिला

ख़ुदा की इतनी बड़ी काएनात में मैं ने
बस एक शख़्स को माँगा मुझे वही न मिला

बहुत अजीब है ये क़ुर्बतों की दूरी भी
वो मेरे साथ रहा और मुझे कभी न मिला

Mohabbaton Mein Dikhaawe Ki Dosti Na Mila In English

Mohabbaton Mein Dikhaawe Ki Dosti Na Mila
Agar Gale Nahin Milta To Haath Bhi Na Mila

Gharon Pe Naam The Naamon Ke Saath Aude The
Bahut Talaash Kiya Koi Aadmi Na Mila

Tamaam Rishton Ko Main Ghar Pe ChhoD Aaya Tha
Phir Us Ke Baad Mujhe Koi Ajnabi Na Mila

KHuda Ki Itni BaDi Kaayenat Mein Main Ne
Bas Ek ShaKHs Ko Maanga Mujhe Wahi Na Mila

Bahut Ajib Hai Ye Qurbaton Ki Duri Bhi
Wo Mere Saath Raha Aur Mujhe Kabhi Na Mila
Share It

Follow on Instagram

CLICK HERE TO GET THE BEST SHAYARI IMAGES ON YOUR INSTAFEED

You May Also Like