Khwaab Ki Tarah Bikhar Jaane Ko Ji Chaahta Hai Ghazal by Iftikhar Arif

Khwaab Ki Tarah Bikhar Jaane Ko Ji Chaahta Hai

Khwaab Ki Tarah Bikhar Jaane Ko Ji Chaahta Hai Ghazal by Iftikhar Arif – Delve into the heartfelt verses of Iftikhar Arif as he explores the deep desires and contemplations of life. His evocative poetry expresses the yearning for freedom, solitude, and meaningful connections, inviting you to explore the intricate emotions of the human experience.

ख़्वाब की तरह बिखर जाने को जी चाहता है हिन्दी में

ख़्वाब की तरह बिखर जाने को जी चाहता है
ऐसी तन्हाई कि मर जाने को जी चाहता है

घर की वहशत से लरज़ता हूँ मगर जाने क्यूँ
शाम होती है तो घर जाने को जी चाहता है

डूब जाऊँ तो कोई मौज निशाँ तक न बताए
ऐसी नद्दी में उतर जाने को जी चाहता है

कभी मिल जाए तो रस्ते की थकन जाग पड़े
ऐसी मंज़िल से गुज़र जाने को जी चाहता है

वही पैमाँ जो कभी जी को ख़ुश आया था बहुत
उसी पैमाँ से मुकर जाने को जी चाहता है

Khwaab Ki Tarah Bikhar Jaane Ko Ji Chaahta Hai In English

Khwaab Ki Tarah Bikhar Jaane Ko Ji Chaahta Hai
Aisi Tanhaai Ki Mar Jaane Ko Ji Chaahta Hai

Ghar Ki Wahshat Se Larazta Hun Magar Jaane Kyun
Shaam Hoti Hai To Ghar Jaane Ko Ji Chaahta Hai

Doob Jaaun To Koi Mauj Nishaan Tak Na Bataae
Aisi Nadi Mein Utar Jaane Ko Ji Chaahta Hai

Kabhi Mil Jaae To Raste Ki Thakaan Jaag PaDe
Aisi Manzil Se Guzar Jaane Ko Ji Chaahta Hai

Wahi Paimaan Jo Kabhi Ji Ko KHush Aaya Tha Bahut
Usi Paimaan Se Mukar Jaane Ko Ji Chaahta Hai
Share It

Follow on Instagram

CLICK HERE TO GET THE BEST SHAYARI IMAGES ON YOUR INSTAFEED

You May Also Like