Search
Close this search box.

Main Nazar Se Pi Raha Hoon Ghazal by Anwar Mirzapuri

Main Nazar Se Pi Raha Hoon

Main Nazar Se Pi Raha Hoon Ghazal by Anwar Mirzapuri – Explore the timeless verses of Anwar Mirzapuri, as he beautifully articulates love, longing, and desire in his poetic expressions. Dive into his evocative words that capture the essence of passion and emotion.

मैं नज़र से पी रहा हूँ हिन्दी में

मैं नज़र से पी रहा हूँ ये समाँ बदल न जाए
न झुकाओ तुम निगाहें कहीं रात ढल न जाए

मिरे अश्क भी हैं इस में ये शराब उबल न जाए
मिरा जाम छूने वाले तिरा हाथ जल न जाए

अभी रात कुछ है बाक़ी न उठा नक़ाब साक़ी
तिरा रिंद गिरते गिरते कहीं फिर सँभल न जाए

मिरी ज़िंदगी के मालिक मिरे दिल पे हाथ रखना
तिरे आने की ख़ुशी में मिरा दम निकल न जाए

मैं बना तो लूं नशेमन किसी शाख-ए-गुलसितां पे
कहीं साथ आशियां के ये चमन भी जल न जाए

मुझे फूँकने से पहले मिरा दिल निकाल लेना
ये किसी की है अमानत मिरे साथ जल न जाए

Main Nazar Se Pi Raha Hoon In English

Main Nazar Se Pi Raha Hoon Ye Samaan Badal Na Jaaye
Na Jhukaao Tum Nigaahain Kahin Raat Dhal Na Jaaye

Abhi Raat Kuchh Hai Baaqi Na Utha Naqab Saaqi
Tera Rind Girte Girte Kahin Phir Sambhal Na Jaaye

Meri Zindgi Ke Maalik Mere Dil Pe Haath Rakhna
Tere Aane Ki Khushii Mein Mera Dam Nikal Na Jaaye

Mere Ashk Bhi Hain Is Mein Ye Sharaab Ubal Na Jaaye
Mera Jaam Chhoone Vaale Tera Haath Jal Na Jaaye

Main Banaa To Loon Nasheman Kisi Shaakh-E-Gulsitaan Pe
Kahin Saath Aashiyan Ke Ye Chaman Bhi Jal Na Jaaye

Mujhe Phoonkne Se Pehle Mera Dil Nikaal Lena
Ye Kisi Ki Hai Amaanat Mere Saath Jal Na Jaaye
Share It

Follow on Instagram

CLICK HERE TO GET THE BEST SHAYARI IMAGES ON YOUR INSTAFEED

You May Also Like