Search
Close this search box.

Zaroori Tha Lyrics by Khalil-Ur-Rehman Qamar

Zaroori Tha

Song: Zaroori Tha … ज़रूरी था
Album: Back 2 Love
Singer: Rahat Fateh Ali Khan
Lyrics: Khalil-Ur-Rehman Qamar
Music: Sahir Ali Bagga

Zaroori Tha is a poignant melody by Rahat Fateh Ali Khan, featuring lyrics that resonate with love’s complexities and the inevitable parting of ways. The song reflects the bittersweet journey of two hearts bound by destiny but separated by circumstances. Khalil-Ur-Rehman Qamar’s evocative zaroori tha lyrics convey the necessity of love, separation, and the intricate dance of longing.

ज़रूरी था हिन्दी में

लफ्ज़ कितने ही तेरे पैरों से लिपटे होंगे
तूने जब आख़िरी खत मेरा जलाया होगा
तूने जब फूल किताबों से निकाले होंगे
देने वाला भी तुझे याद तो आया होगा
तेरी आँखों के दरिया का
उतरना भी ज़रूरी था
मोहब्बत भी ज़रूरी थी
बिछड़ना भी ज़रूरी था

ज़रूरी था की हम दोनों
तवाफ़े आरज़ू करते

मगर फिर आरज़ूओं का
बिखरना भी ज़रूरी था
तेरी आँखों के दरिया का
उतरना भी ज़रूरी था

बताओ याद है तुमको
वो जब दिल को चुराया था
चुराई चीज़ को तुमने
ख़ुदा का घर बनाया था

वो जब कहते थे
मेरा नाम तुम तस्बीह में पढ़ते हो
मोहब्बत की नमाज़ों को
कज़ा करने से डरते हो

मगर अब याद आता है
वो बातें थी महज़ बातें

कहीं बातों ही बातों में
मुकरना भी ज़रूरी था
तेरी आँखों के दरिया का
उतरना भी ज़रूरी था

वही हैं सूरतें अपनी
वही मैं हूँ, वही तुम हो
मगर खोया हुआ हूँ मैं
मगर तुम भी कहीं गुम हो

मोहब्बत में दग़ा की थी
सो काफ़िर थे सो काफ़िर हैं
मिली हैं मंज़िलें फिर भी
मुसाफिर थे मुसाफिर हैं

तेरे दिल के निकाले हम
कहाँ भटके कहाँ पहुंचे
मगर भटके तो याद आया
भटकना भी ज़रूरी था

मोहब्बत भी ज़रूरी थी
बिछड़ना भी ज़रूरी था
ज़रूरी था की हम दोनों
तवाफ़े आरज़ू करते
मगर फिर आरज़ूओं का
बिखरना भी ज़रूरी था
तेरी आँखों के दरिया का
उतरना भी ज़रूरी था

Zaroori Tha In English

Lafz Kitne Hi Tere Pairon Se Lipte Honge
Tune Jab Aakhiri Khat Mera Jalaya… Hoga
Tune Jab Phool, Kitabon Se Nikaale Honge
Dene Waala Bhi Tujhe Yaad Toh Aaya Hoga

Teri Aankhon Ke Dariya Ka
Utarna Bhi Zaroori Tha
Mohabbat Bhi Zaroori Thi
Bichadna Bhi Zaroori Tha

Zaroori Tha Ki
Hum Dono Tawaaf-E-Aarzoo Karte

Magar Phir Aarzu’on Ka
Bikharna Bhi Zaroori Tha
Teri Aankhon Ke Dariya Ka
Utarna Bhi Zaroori Tha

Bataao Yaad Hai Tumko
Woh Jab Dil Ko Churaya Tha
Churaai Cheez Ko Tumne
Khuda Ka Ghar Banaya Tha

Woh Jab Kehte Thhe
Mera Naam Tum Tasbih Mein Padhte Ho
Mohabbat Ki Namaazo Ko
Qaza Karne Se Darte Ho

Magar Ab Yaad Aata Hai
Woh Baatein Thi Mahaz Baatein
Kahin Baaton Hi Baaton Mein
Mukarna Bhi Zaroori Tha
Teri Aankhon Ke Dariya Ka
Utarna Bhi Zaroori Tha

Wahi Hai Sooratein Apni
Wahi Main Hoon, Wahi Tum Ho
Magar Khoya Huaa Hoon Main
Magar Tum Bhi Kahin Gum Ho

Mohabbat Mein Dagha Ki Thi
So Kaafir The So Kaafir Hain
Mili Hain Manzilein Phir Bhi
Musaafir Thhe, Musaafir Hain

Tere Dil Ke Nikaale Hum
Kahaan Bhatke, Kahaan Pahunche
Magar Bhatke Toh Yaad Aaya
Bhatakna Bhi Zaroori Tha
Mohabbat Bhi Zaroori Thi
Bichhadna Bhi Zaroori Tha

Zaroori Tha Ki
Hum Dono Tawaaf-E-Aarzoo Karte
Magar Phir Aarzu’on Ka
Bikharna Bhi Zaroori Tha
Teri Aankhon Ke Dariya Ka
Utarna Bhi Zaroori Tha
Share It

Follow on Instagram

CLICK HERE TO GET THE BEST SHAYARI IMAGES ON YOUR INSTAFEED

You May Also Like