Switch to the dark mode that's kinder on your eyes at night time.

Switch to the light mode that's kinder on your eyes at day time.

MOHABBAT BHI ZAROORI THI LYRICS

KHALIL UR REHMAN QAMAR

Shayari Image : "Tune jab Phool Kitabon se nikaale honge, Dene Wala bhi tujhe Yaad To aaya hoga" -Khalil-ur-Rehman Qamar
MOHABBAT BHI ZAROORI THI LYRICS IMAGE

MOHABBAT BHI ZAROORI THI LYRICS IN ENGLISH

Lafz kitne hi tere pairon se lipte honge
Tune jab aakhiri khat mera jalaya… hoga
Tune jab phool, kitabon se nikaale honge
Dene waala bhi tujhe yaad toh aaya hoga

Teri aankhon ke dariya ka
utarna bhi zaroori tha
Mohabbat bhi zaroori thi
Bichadna bhi zaroori tha

Zaroori tha ki
Hum dono tawaaf-e-aarzoo karte

Magar phir aarzu’on ka
bikharna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka
utarna bhi zaroori tha

Bataao yaad hai tumko
Woh jab dil ko churaya tha
Churaai cheez ko tumne
Khuda ka ghar banaya tha

(adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({});

Woh jab kehte thhe
Mera naam tum tasbih mein padhte ho
Mohabbat ki Namaazo ko
qara karne se darte ho

Magar ab yaad aata hai
Woh baatein thi mahaz baatein
Kahin baaton hi baaton mein
Mukarna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka
Utarna bhi zaroori tha

Wahi hai sooratein apni
Wahi main hoon, wahi tum ho
Magar khoya huaa hoon main
Magar tum bhi kahin gum ho

Mohabbat mein dagha ki thi
So kaafir the so kaafir hain
Mili hain manzilein phir bhi
Musaafir thhe, musaafir hain

Tere dil ke nikaale hum
Kahaan bhatke, kahaan pahunche
Magar bhatke toh yaad aaya
Bhatakna bhi zaroori tha
Mohabbat bhi zaroori thi
Bichhadna bhi zaroori tha

Zaroori tha ki
Hum dono tawaaf-e-aarzoo karte
Magar phir aarzu’on ka
Bikharna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka
Utarna bhi zaroori tha

mohabbat bhi zaroori thi lyrics image : "Mohabbat main dagaa ki thi So kaafir the, So kaafir Hain; Mili hain manzilein Phir bhi musaafir the, Musaafir Hain!" -Khalil-ur-Rehman Qamar
Mohabbat Bhi Zaroori Thi Lyrics Image
: “Mohabbat main dagaa ki thi So kaafir the, So kaafir Hain; Mili hain manzilein Phir bhi musaafir the, Musaafir Hain!” -Khalil-ur-Rehman Qamar
(adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({});

MOHABBAT BHI ZAROORI THI LYRICS IN HINDI

लफ्ज़ कितने ही तेरे पैरों से लिपटे होंगे
तूने जब आख़िरी खत मेरा जलाया होगा
तूने जब फूल किताबों से निकाले होंगे
देने वाला भी तुझे याद तो आया होगा
तेरी आँखों के दरिया का
उतरना भी ज़रूरी था
मोहब्बत भी ज़रूरी थी
बिछड़ना भी ज़रूरी था
ज़रूरी था की हम दोनों
तवाफ़े आरज़ू करते

मगर फिर आरज़ूओं का
बिखरना भी ज़रूरी था
तेरी आँखों के दरिया का
उतरना भी ज़रूरी था

बताओ याद है तुमको
वो जब दिल को चुराया था
चुराई चीज़ को तुमने
ख़ुदा का घर बनाया था

वो जब कहते थे
मेरा नाम तुम तस्बीह में पढ़ते हो
मोहब्बत की नमाज़ों को
कज़ा करने से डरते हो

मगर अब याद आता है
वो बातें थी महज़ बातें

कहीं बातों ही बातों में
मुकरना भी ज़रूरी था
तेरी आँखों के दरिया का
उतरना भी ज़रूरी था

(adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({});

वही हैं सूरतें अपनी
वही मैं हूँ, वही तुम हो
मगर खोया हुआ हूँ मैं
मगर तुम भी कहीं गुम हो

मोहब्बत में दग़ा की थी
सो काफ़िर थे सो काफ़िर हैं
मिली हैं मंज़िलें फिर भी
मुसाफिर थे मुसाफिर हैं

तेरे दिल के निकाले हम
कहाँ भटके कहाँ पहुंचे
मगर भटके तो याद आया
भटकना भी ज़रूरी था

मोहब्बत भी ज़रूरी थी
बिछड़ना भी ज़रूरी था
ज़रूरी था की हम दोनों
तवाफ़े आरज़ू करते
मगर फिर आरज़ूओं का
बिखरना भी ज़रूरी था
तेरी आँखों के दरिया का
उतरना भी ज़रूरी था


खलील-उर रहमान कमर

MOHABBAT BHI ZAROORI THI LYRICS VIDEO
(adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({});
liked it? share it

SHAYARI VIDEO OF THE PERIOD

CONNECT NOW

Back to Top
close

Log In

Forgot password?

Forgot password?

Enter your account data and we will send you a link to reset your password.

Your password reset link appears to be invalid or expired.

Log in

Privacy Policy

To use social login you have to agree with the storage and handling of your data by this website. %privacy_policy%

Add to Collection

No Collections

Here you'll find all collections you've created before.