IRRITATED SHAYARI – NAFRAT KEEJIYE
–KARZDAAR MAYANK

This Irritated Shayari (Ghazal) by Karzdaar portrays irritation, tiresomeness, and complaints. Here the poet doesn’t wish to follow the formality of following the unpleasing social formalities.
IRRITATED SHAYARI – NAFRAT KEEJIYE LYRICS IN ENGLISH
Kyun bhalaa chaahne ki hasrat keejiye
Bas Humein dekhiye aur Nafrat keejiye
Muskaan, taareef, Haal chaal theek hai
pehle janaab arz-e-matlab keejiye
Aap ko kahaan padhhi hai Hindostaan ki
Aap ka seedha maqsad dehshat keejiye
Din ko raat, raat ko din karne waalon
Zaraa apne se kabhi fursat keejiye
Saari pareshaani yahaan aa ke Thehri hai
Bas raat o din Ghar se daftar keejiye
Tum hi to ho Zimmedaar iss haalat ke
Ab kyun humein Dekh kar hairat keejiye
Subaah se shaam ki majdoori ke baad
Chaaraagar kehte Hain kasrat keejiye
Maare nahin maar paate ho humein
Aese kese chalega mehnat keejiye
Zamaane ka dastoor hi kuchh aesa hai
Beintahaan Ishq kar Furqat keejiye
Kuchh din Sharm mein hi doobe rahein
Kabhi sang apne kuchh harkat keejiye
‘Karzdaar’ Tabaah karne tule hain wo log
Jo bhare mooh kehte the barkat keejiye

IRRITATED SHAYARI – NAFRAT KEEJIYE LYRICS IN ENGLISH
क्यूं भला चाहने की हसरत कीजिये
बस हम देखिये और नफ़रत कीजिये
मुस्कान, तारीफ़, हाल चाल ठीक है
पहले जनाब अर्ज़-ए-मतलब कीजिये
आप को कहां पड़ी है हिंदोस्तान की
आप का सीधा मक़सद देहशत कीजिये
दिन को रात, रात को दिन करने वालों
ज़रा अपने से कभी फुर्सत कीजिये
सारी परशानी यहाँ आ के ठहरी है
बस रात ओ दिन घर से दफ्तर कीजिये
तुम ही तो हो ज़िम्मेदार इस हालत के
अब क्यूं हमें देख कर हैरत कीजिये
सुबह से शाम की मजदूरी के बाद
चारागर कहते हैं कसरत कीजिये
मारे नहीं मार पाते हो हमें
ऐसे केसे चलेगा मेहनत कीजिए
ज़माने का दस्तूर ही कुछ ऐसा है
बेइंतहां इश्क कर फुर्कत कीजिये
कुछ दिन शर्म में ही डूब रहें हम
कभी संग अपने कुछ हरकत कीजिये
‘ कर्ज़दार’ तबाह करने तुले हैं वो लोग
जो भरे मूंह कहते थे बरकत कीजिये

– कर्ज़दार मयंक
(CLICK HERE TO GET BEST SHAYARI IMAGES ON YOUR INSTAFEED )