IK BAGAL MEIN CHAND HOGA
–PIYUSH MISHRA

IK BAGAL MEIN CHAND HOGA LYRICS ENGLISH
Ik bagal mein chand hoga, Ik bagal mein rotiyan
Ik bagal mein chand hoga, Ik bagal mein rotiyan
Ik bagal mein neend hogi, Ik bagal mein loriyan
Hum chand pe
Hum chand pe roti ki chadar daal kar so jayenge
Aur neend se
Aur neend se keh denge lori kal sunane ayenge
Aur neend se keh denge lori kal sunane ayenge
Ik bagal mein chand hoga, Ik bagal mein rotiyaan
Ik bagal mein neend hogi, Ik bagal mein loriyaan
Hum chaand pe
Hum chaand pe roti ki chaadar daal kar so jayenge
Aur neend se
Aur neend se keh denge lori kal sunane ayenge
Aur neend se keh denge lori kal sunane ayenge
Ik bagal mein khan-khanati sipiyan ho jayengi
Ik bagal mein kuch rulati siskiyan ho jayengi
Hum sipiyon mein
Hum seepiyon mein bhar ke saare taare chun ke aayenge
Aur siskiyon ko
Aur siskiyon ko gudgudi kar kar ke yu behlayenge
Aur siskiyon ko gudgudi kar kar ke yu behlayenge
Amma teri siskiyon pe koi rone aayega
Koi rone aayega…
Gham na kar jo ayega vo phir kabhi na jayega
Vo phir kabhi na jayega
Yaad rakh par koi anhoni nahi tu layegi
Layegi to phir kahani aur kuch ho jayegi
Yaad rakh par koi anhoni nahi tu layegi
Layegi to phir kahani aur kuch ho jayegi
Honi aur anhoni ki parwah kise hai meri jaan
Had se zada yehi hoga ki yahi mar jayenge
Hum maut ko
Hum maut ko sapna bata kar uth khade honge yahi
Aur honi ko
Aur honi ko thenga dikha kar khil-khilte jayenge

IK BAGAL MEIN CHAND HOGA LYRICS HINDI
इक बगल में चाँद होगा, इक बगल में रोटियाँ
इक बगल में नींद होगी, इक बगल में लोरियाँ
हम चाँद पे रोटी की चादर डालकर सो जायेंगे
और नींद से कह देंगे लोरी कल सुनाने आयेंगे
इक बगल में खनखनाती सीपियाँ हो जाएँगी
इक बगल में कुछ रुलाती सिसकियाँ हो जाएँगी
हम सीपियों में भर के सारे तारे छू के आयेंगे
और सिसकियों को गुदगुदी कर कर के यूँ बहलाएँगे
अब न तेरी सिसकियों पे कोई रोने आएगा
गम न कर जो आएगा वो फिर कभी न जायेगा
याद रख पर कोई अनहोनी नहीं तू लाएगी
लाएगी तो फिर कहानी और कुछ हो जाएगी
होनी और अनहोनी की परवाह किसे है मेरी जाँ
हद से ज़्यादा ये ही होगा की यहीं मर जायेंगे
हम मौत को सपना बता कर उठ खड़े होंगे यहीं
और होनी को ठेंगा दिखाकर खिलखिलाते जायेंगे