AADMI KO BHI MAYASSAR NAHIN INSAAN HONA
-MIRZA GHALIB

AADMI KO BHI MAYASAR NAHIN LYRICS ENGLISH
bas-ki dushwaar hai har kaam ka aasaan hona
aadmi ko bhi mayassar nahin insaan hona
giryaa chaahe hai KHaraabi mere kashaane ki
dar o diwaar se Tapke hai bayaabaan hona
wa-e-diwaangi-e-shauq ki har dam mujh ko
aap jaana udhar aur aap hi hairaan hona
jalwa az-bas-ki taqaza-e-nigaah karta hai
jauhar-e-aaina bhi chahe hai mizhgaan hona
ishrat-e-qatl-gah-e-ahl-e-tamanna mat puchh
id-e-nazzara hai shamshir ka uryaan hona
le gae KHaak mein hum daagh-e-tamanna-e-nashat
tu ho aur aap ba-sad-rang-e-gulistaan hona
ishrat-e-para-e-dil zaKHm-e-tamanna khana
lazzat-e-rish-e-jigar gharq-e-namak-daan hona
ki mere qatl ke baad us ne jafaa se tauba
haaye us zood-pashimaan ka pashemaan hona
haif us chaar girah kapDe ki qismat ‘ghaalib’
jis ki qismat mein ho aashiq ka gareban hona

AADMI KO BHI MAYASAR NAHIN LYRICS HINDI
बस-कि दुश्वार है हर काम का आसाँ होना
आदमी को भी मयस्सर नहीं इंसाँ होना
गिर्या चाहे है ख़राबी मिरे काशाने की
दर ओ दीवार से टपके है बयाबाँ होना
वा-ए-दीवानगी-ए-शौक़ कि हर दम मुझ को
आप जाना उधर और आप ही हैराँ होना
जल्वा अज़-बस-कि तक़ाज़ा-ए-निगह करता है
जौहर-ए-आइना भी चाहे है मिज़्गाँ होना
इशरत-ए-क़त्ल-गह-ए-अहल-ए-तमन्ना मत पूछ
ईद-ए-नज़्ज़ारा है शमशीर का उर्यां होना
ले गए ख़ाक में हम दाग़-ए-तमन्ना-ए-नशात
तू हो और आप ब-सद-रंग-ए-गुलिस्ताँ होना
इशरत-ए-पारा-ए-दिल ज़ख़्म-ए-तमन्ना खाना
लज़्ज़त-ए-रीश-ए-जिगर ग़र्क़-ए-नमक-दाँ होना
की मिरे क़त्ल के बा’द उस ने जफ़ा से तौबा
हाए उस ज़ूद-पशीमाँ का पशेमाँ होना
हैफ़ उस चार गिरह कपड़े की क़िस्मत ‘ग़ालिब’
जिस की क़िस्मत में हो आशिक़ का गरेबाँ होना