Irritated Shayari – Nafrat Keejiye by Karzdar Mayank

Nafrat Keejiye

Irritated Shayari – Nafrat Keejiye by Karzdar Mayank | In this poignant ghazal penned by the poet Karzdaar Mayank, the themes of love, Irritation longing, and life’s struggles are beautifully interwoven. The poet implores us to consider why we should harbor desires for affection when faced with indifference and hatred. The verses emphasize the importance of sincerity and clarity in communication. Karzdaar reflects on the challenges of life, the grind of daily work, and the burden of responsibilities, all the while reminding us to find moments of respite and self-reflection. This ghazal offers a thought-provoking exploration of human emotions and societal norms, making it a compelling addition to any Shayari collection.

नफ़रत कीजिये हिन्दी में

क्यूं भला चाहने की हसरत कीजिये
बस हम देखिये और नफ़रत कीजिये

मुस्कान, तारीफ़, हाल चाल ठीक है
पहले जनाब अर्ज़-ए-मतलब कीजिये

आप को कहां पड़ी है हिंदोस्तान की
आप का सीधा मक़सद देहशत कीजिये

दिन को रात, रात को दिन करने वालों
ज़रा अपने से कभी फुर्सत कीजिये

सारी परशानी यहाँ आ के ठहरी है
बस रात ओ दिन घर से दफ्तर कीजिये

तुम ही तो हो ज़िम्मेदार इस हालत के
अब क्यूं हमें देख कर हैरत कीजिये

सुबह से शाम की मजदूरी के बाद
चारागर कहते हैं कसरत कीजिये

मारे नहीं मार पाते हो हमें
ऐसे केसे चलेगा मेहनत कीजिए

ज़माने का दस्तूर ही कुछ ऐसा है
बेइंतहां इश्क कर फुर्कत कीजिये

कुछ दिन शर्म में ही डूब रहें हम
कभी संग अपने कुछ हरकत कीजिये

‘ कर्ज़दार’ तबाह करने तुले हैं वो लोग
जो भरे मूंह कहते थे बरकत कीजिये

Nafrat Keejiye In English

Kyun Bhalaa Chaahne Ki Hasrat Keejiye
Bas Humein Dekhiye Aur Nafrat Keejiye

Muskaan, Taareef, Haal Chaal Theek Hai
Pehle Janaab Arz-E-Matlab Keejiye

Aap Ko Kahaan Padhhi Hai Hindostaan Ki
Aap Ka Seedha Maqsad Dehshat Keejiye

Din Ko Raat, Raat Ko Din Karne Waalon
Zaraa Apne Se Kabhi Fursat Keejiye

Saari Pareshaani Yahaan Aa Ke Thehri Hai
Bas Raat O Din Ghar Se Daftar Keejiye

Tum Hi To Ho Zimmedaar Iss Haalat Ke
Ab Kyun Humein Dekh Kar Hairat Keejiye

Subaah Se Shaam Ki Majdoori Ke Baad
Chaaraagar Kehte Hain Kasrat Keejiye

Maare Nahin Maar Paate Ho Humein
Aese Kese Chalega Mehnat Keejiye

Zamaane Ka Dastoor Hi Kuchh Aesa Hai
Beintahaan Ishq Kar Furqat Keejiye

Kuchh Din Sharm Mein Hi Doobe Rahein
Kabhi Sang Apne Kuchh Harkat Keejiye

‘Karzdaar’ Tabaah Karne Tule Hain Wo Log
Jo Bhare Mooh Kehte The Barkat Keejiye
Share It

Follow on Instagram

CLICK HERE TO GET THE BEST SHAYARI IMAGES ON YOUR INSTAFEED

You May Also Like