ZAFAR IQBAL FAMOUS POETRY
KHAMOSHI ACHHI NAHI INKAR HINA CHAHIYE

ZAFAR IQBAL FAMOUS POETRY LYRICS IN ENGLISH
KHaamushi achchhi nahin inkaar hona chaahiye
ye tamaasha ab sar-e-baazaar hona chaahiye
KHwaab ki taabir par israar hai jin ko abhi
pahle un ko KHwaab se bedaar hona chaahiye
Dub kar marna bhi uslub-e-mohabbat ho to ho
wo jo dariya hai to us ko paar hona chaahiye
ab wahi karne lage didaar se aage ki baat
jo kabhi kahte the bas didaar hona chaahiye
baat puri hai adhuri chaahiye ai jaan-e-jaan
kaam aasan hai ise dushwaar hona chaahiye
dosti ke naam par kije na kyunkar dushmani
kuchh na kuchh aaKHir taariq-e-kar hona chaahiye
jhuT bola hai to qaaem bhi raho us par ‘zafar’
aadmi ko saahab-e-kirdaar hona chaahiye

ZAFAR IQBAL FAMOUS POETRY LYRICS IN HINDI
ख़ामुशी अच्छी नहीं इंकार होना चाहिए
ये तमाशा अब सर-ए-बाज़ार होना चाहिए
ख़्वाब की ताबीर पर इसरार है जिन को अभी
पहले उन को ख़्वाब से बेदार होना चाहिए
डूब कर मरना भी उसलूब-ए-मोहब्बत हो तो हो
वो जो दरिया है तो उस को पार होना चाहिए
अब वही करने लगे दीदार से आगे की बात
जो कभी कहते थे बस दीदार होना चाहिए
बात पूरी है अधूरी चाहिए ऐ जान-ए-जाँ
काम आसाँ है इसे दुश्वार होना चाहिए
दोस्ती के नाम पर कीजे न क्यूँकर दुश्मनी
कुछ न कुछ आख़िर तरीक़-ए-कार होना चाहिए
झूट बोला है तो क़ाएम भी रहो उस पर ‘ज़फ़र’
आदमी को साहब-ए-किरदार होना चाहिए

(CLICK HERE TO GET BEST SHAYARI IMAGES ON YOUR INSTAFEED )