Switch to the dark mode that's kinder on your eyes at night time.

Switch to the light mode that's kinder on your eyes at day time.

UMR GUZREGI IMTIHAN MEIN KYA

SHAYAR – JAUN ELIYA

UMR GUZREGI IMTIHAN MEIN KYA  IMAGE : "Bolte kyun nahin mere haq mein Aable padhh gaye zabaan mein kya?" -Jaun Eliya
UMR GUZREGI IMTIHAN MEIN KYA IMAGE

UMR GUZREGI IMTIHAN MEIN KYA IN ENGLISH

umr guzregi imtihan mein kya
daagh hi denge mujh ko daan mein kya

meri har baat be-asar hi rahi
naqs hai kuchh mere bayaan mein kya

mujh ko to koi Tokta bhi nahin
yahi hota hai Khaandan mein kya

UMR GUZREGI IMTIHAN MEIN KYA IMAGE : "Mujh ko to koi Tokta bhi nahin Yahi hota hai Khaandaan mein kya?" -Jaun Eliya
UMR GUZREGI IMTIHAN MEIN KYA IMAGE

apni mahrumiyan chhupaate hain
hum gharibon ki aan-baan mein kya

Khud ko jaana judaa zamaane se
aa gayaa tha mere gumaan mein kya

shaam hi se dukaan-e-deed hai band
nahin nuqsaan tak dukaan mein kya

ai mere subh-o-shaam-e-dil ki shafaq
tu nahaati hai ab bhi baan mein kya

bolte kyun nahin mere haq mein
aable padhh gaye zabaan mein kya

Khamoshi keh rahi hai kaan mein kya
aa raha hai mere gumaan mein kya

dil ki aate hain jis ko dhyaan bahut
Khud bhi aata hai apne dhyaan mein kya

wo mile to ye puchhna hai mujhe
ab bhi hun main teri amaan mein kya

yun jo takta hai aasmaan ko tu
koi rahta hai aasmaan mein kya

hai nasim-e-bahaar gard-alud
KHak udhhti hai us makaan mein kya

ye mujhe chain kyun nahin paDta
ek hi shakhs tha jahaan mein kya

UMR GUZREGI IMTIHAN MEIN KYA IMAGE : Meri har baat Be-asar hi rahi Nakhs hai kuchh Mere bayaan mein kya?" -Jaun Eliya
UMR GUZREGI IMTIHAN MEIN KYA IMAGE
(adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({});

UMR GUZREGI IMTIHAN MEIN KYA IN HINDI

उम्र गुज़रेगी इम्तिहान में क्या
दाग़ ही देंगे मुझ को दान में क्या

मेरी हर बात बे-असर ही रही
नक़्स है कुछ मिरे बयान में क्या

मुझ को तो कोई टोकता भी नहीं
यही होता है ख़ानदान में क्या

अपनी महरूमियाँ छुपाते हैं
हम ग़रीबों की आन-बान में क्या

ख़ुद को जाना जुदा ज़माने से
आ गया था मिरे गुमान में क्या

शाम ही से दुकान-ए-दीद है बंद
नहीं नुक़सान तक दुकान में क्या

ऐ मिरे सुब्ह-ओ-शाम-ए-दिल की शफ़क़
तू नहाती है अब भी बान में क्या

बोलते क्यूँ नहीं मिरे हक़ में
आबले पड़ गए ज़बान में क्या

ख़ामुशी कह रही है कान में क्या
आ रहा है मिरे गुमान में क्या

दिल कि आते हैं जिस को ध्यान बहुत
ख़ुद भी आता है अपने ध्यान में क्या

वो मिले तो ये पूछना है मुझे
अब भी हूँ मैं तिरी अमान में क्या

यूँ जो तकता है आसमान को तू
कोई रहता है आसमान में क्या

है नसीम-ए-बहार गर्द-आलूद
ख़ाक उड़ती है उस मकान में क्या

ये मुझे चैन क्यूँ नहीं पड़ता
एक ही शख़्स था जहान में क्या

जौन एलिया

(adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({});
UMR GUZREGI IMTIHAN MEIN KYA IMAGE : "Ye mujhe chain kyun nahin padhhta ek hi shakhs tha jahaan mein Kya" -Jaun Eliya
UMR GUZREGI IMTIHAN MEIN KYA IMAGE
THIS IS THE LINK OF THE VIDEO : UMR GUZREGI IMTIHAN MEIN KYA
(adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({});
liked it? share it

SHAYARI VIDEO OF THE PERIOD

CONNECT NOW

Back to Top
close

Log In

Forgot password?

Forgot password?

Enter your account data and we will send you a link to reset your password.

Your password reset link appears to be invalid or expired.

Log in

Privacy Policy

To use social login you have to agree with the storage and handling of your data by this website. %privacy_policy%

Add to Collection

No Collections

Here you'll find all collections you've created before.