Switch to the dark mode that's kinder on your eyes at night time.

Switch to the light mode that's kinder on your eyes at day time.

SHAYARI ON WOMEN’S EMPOWERMENT

AURAT LYRICAL VIDEO RECITED BY MANOJ MUNTASHIR

UTH MERI JAAN MERE SAATH HI CHALNA HAI TUJHE

AURAT NAZM

KAIFI AZMI

SHAYARI ON WOMEN'S EMPOWERMENT : "Tu haqeeqat bhi hai Dilchasp kahaani hi nahin Teri hasti bhi hai ek cheez Javaani hi nahin" -Kaifi Azmi
SHAYARI ON WOMEN’S EMPOWERMENT IMAGE

SHAYARI ON WOMEN’S EMPOWERMENT IN ENGLISH

uth meri jaan mere saath hi chalna hai tujhe

qalb-e-maahaul mein larzaan sharar-e-jang hain aaj
hausle waqt ke aur zist ke yak-rang hain aaj

aabginon mein tapan walwala-e-sang hain aaj
husn aur ishq ham-aawaz o ham-aahang hain aaj

jis mein jalta hun usi aag mein jalna hai tujhe
uth meri jaan mere saath hi chalna hai tujhe

tere qadmon mein hai firdaus-e-tamaddun ki bahaar
teri nazron pe hai tahzib o taraqqi ka madar

teri aaghosh hai gahwara-e-nafs-o-kirdar
ta-ba-kai gird tere wahm o tayyun ka hisar

kaund kar majlis-e-KHalwat se nikalna hai tujhe
uth meri jaan mere saath hi chalna hai tujhe

tu ki be-jaan khilaunon se bahal jati hai
tapti sanson ki hararat se pighal jati hai

panw jis rah mein rakhti hai phisal jati hai
ban ke simab har ek zarf mein Dhal jati hai

zist ke aahani sanche mein bhi Dhalna hai tujhe
uth meri jaan mere saath hi chalna hai tujhe

SHAYARI ON WOMEN'S EMPOWERMENT IMAGE : Zindagi jehed mein hai Sabr ke qaabu mein nahin Nabz-e-hastii ka lahu kaanpte aansoo mein nahin"  -Kaifi Azmi
SHAYARI ON WOMEN’S EMPOWERMENT IMAGE

zindagi jehd mein hai sabr ke qabu mein nahin
nabz-e-hasti ka lahu kanpte aansu mein nahin

uDne khulne mein hai nikhat KHam-e-gesu mein nahin
jannat ek aur hai jo mard ke pahlu mein nahin

us ki aazad rawish par bhi machalna hai tujhe
uth meri jaan mere saath hi chalna hai tujhe

goshe goshe mein sulagti hai chita tere liye
farz ka bhes badalti hai qaza tere liye

SHAYARI ON WOMEN'S EMPOWERMENT : Goshe Goshe mein Sulagti hai Chita Tere liye Farz ka bhes badalti hai Qazaa Tere liye -Kaifi Azmi
SHAYARI ON WOMEN’S EMPOWERMENT IMAGE

qahr hai teri har ek narm ada tere liye
zahr hi zahr hai duniya ki hawa tere liye

rut badal Dal agar phulna phalna hai tujhe
uth meri jaan mere saath hi chalna hai tujhe

qadr ab tak teri tariKH ne jaani hi nahin
tujh mein shoale bhi hain bas ashk-fishani hi nahin

tu haqiqat bhi hai dilchasp kahani hi nahin
teri hasti bhi hai ek chiz jawani hi nahin

apni tariKH ka unwan badalna hai tujhe
uth meri jaan mere saath hi chalna hai tujhe

toD kar rasm ka but band-e-qadamat se nikal
zof-e-ishrat se nikal wahm-e-nazakat se nikal

nafs ke khinche hue halqa-e-azmat se nikal
qaid ban jae mohabbat to mohabbat se nikal

rah ka KHar hi kya gul bhi kuchalna hai tujhe
uth meri jaan mere saath hi chalna hai tujhe

toD ye azm-shikan daghdagha-e-pand bhi toD
teri KHatir hai jo zanjir wo saugand bhi toD

tauq ye bhi hai zamurrad ka gulu-band bhi toD
toD paimana-e-mardan-e-KHirad-mand bhi toD

ban ke tufan chhalakna hai ubalna hai tujhe
uth meri jaan mere saath hi chalna hai tujhe

tu falatun o arastu hai tu zahra parwin
tere qabze mein hai gardun teri Thokar mein zamin

han uTha jald uTha pa-e-muqaddar se jabin
main bhi rukne ka nahin waqt bhi rukne ka nahin

laDkhaDaegi kahan tak ki sambhalna hai tujhe
uth meri jaan mere saath hi chalna hai tujhe

SHAYARI ON WOMEN'S EMPOWERMENT : "Ladkhadhhayegi kahaan tak Ki sambhalna hai tujhe Uthh meri jaan Mere saath hi chalna hai tujhe"  -Kaifi Azmi
SHAYARI ON WOMEN’S EMPOWERMENT IMAGE
SHAYARI ON WOMEN'S EMPOWERMENT : Tu ki be-jaan khilauno se behel jaati hai Tapti saanso ki haraarat se pighal jaati hai -Kaifi Azmi
SHAYARI ON WOMEN’S EMPOWERMENT IMAGE

SHAYARI ON WOMEN’S EMPOWERMENT (औरत) IN HINDI

उठ मिरी जान मिरे साथ ही चलना है तुझे

क़ल्ब-ए-माहौल में लर्ज़ां शरर-ए-जंग हैं आज
हौसले वक़्त के और ज़ीस्त के यक-रंग हैं आज

आबगीनों में तपाँ वलवला-ए-संग हैं आज
हुस्न और इश्क़ हम-आवाज़ ओ हम-आहंग हैं आज

जिस में जलता हूँ उसी आग में जलना है तुझे
उठ मिरी जान मिरे साथ ही चलना है तुझे

तेरे क़दमों में है फ़िरदौस-ए-तमद्दुन की बहार
तेरी नज़रों पे है तहज़ीब ओ तरक़्क़ी का मदार

तेरी आग़ोश है गहवारा-ए-नफ़्स-ओ-किरदार
ता-ब-कै गिर्द तिरे वहम ओ तअ’य्युन का हिसार

कौंद कर मज्लिस-ए-ख़ल्वत से निकलना है तुझे
उठ मिरी जान मिरे साथ ही चलना है तुझे

तू कि बे-जान खिलौनों से बहल जाती है
तपती साँसों की हरारत से पिघल जाती है

पाँव जिस राह में रखती है फिसल जाती है
बन के सीमाब हर इक ज़र्फ़ में ढल जाती है

ज़ीस्त के आहनी साँचे में भी ढलना है तुझे
उठ मिरी जान मिरे साथ ही चलना है तुझे

ज़िंदगी जेहद में है सब्र के क़ाबू में नहीं
नब्ज़-ए-हस्ती का लहू काँपते आँसू में नहीं

उड़ने खुलने में है निकहत ख़म-ए-गेसू में नहीं
जन्नत इक और है जो मर्द के पहलू में नहीं

उस की आज़ाद रविश पर भी मचलना है तुझे
उठ मिरी जान मिरे साथ ही चलना है तुझे

गोशे गोशे में सुलगती है चिता तेरे लिए
फ़र्ज़ का भेस बदलती है क़ज़ा तेरे लिए

क़हर है तेरी हर इक नर्म अदा तेरे लिए
ज़हर ही ज़हर है दुनिया की हवा तेरे लिए

रुत बदल डाल अगर फूलना फलना है तुझे
उठ मिरी जान मिरे साथ ही चलना है तुझे

क़द्र अब तक तिरी तारीख़ ने जानी ही नहीं
तुझ में शो’ले भी हैं बस अश्क-फ़िशानी ही नहीं

तू हक़ीक़त भी है दिलचस्प कहानी ही नहीं
तेरी हस्ती भी है इक चीज़ जवानी ही नहीं

अपनी तारीख़ का उन्वान बदलना है तुझे
उठ मिरी जान मिरे साथ ही चलना है तुझे

तोड़ कर रस्म का बुत बंद-ए-क़दामत से निकल
ज़ोफ़-ए-इशरत से निकल वहम-ए-नज़ाकत से निकल

नफ़्स के खींचे हुए हल्क़ा-ए-अज़्मत से निकल
क़ैद बन जाए मोहब्बत तो मोहब्बत से निकल

राह का ख़ार ही क्या गुल भी कुचलना है तुझे
उठ मिरी जान मिरे साथ ही चलना है तुझे

तोड़ ये अज़्म-शिकन दग़दग़ा-ए-पंद भी तोड़
तेरी ख़ातिर है जो ज़ंजीर वो सौगंद भी तोड़

तौक़ ये भी है ज़मुर्रद का गुलू-बंद भी तोड़
तोड़ पैमाना-ए-मर्दान-ए-ख़िरद-मंद भी तोड़

बन के तूफ़ान छलकना है उबलना है तुझे
उठ मिरी जान मिरे साथ ही चलना है तुझे

तू फ़लातून ओ अरस्तू है तू ज़हरा परवीं
तेरे क़ब्ज़े में है गर्दूं तिरी ठोकर में ज़मीं

हाँ उठा जल्द उठा पा-ए-मुक़द्दर से जबीं
मैं भी रुकने का नहीं वक़्त भी रुकने का नहीं

लड़खड़ाएगी कहाँ तक कि सँभलना है तुझे
उठ मिरी जान मिरे साथ ही चलना है तुझे

औरत – कैफ़ी आज़मी

SHAYARI ON WOMEN'S EMPOWERMENT : "Tu haqeeqat bhi hai Dilchasp kahaani hi nahin Teri hasti bhi hai ek cheez Javaani hi nahin" -Kaifi Azmi
SHAYARI ON WOMEN’S EMPOWERMENT IMAGE
SHAYARI ON WOMEN'S EMPOWERMENT : Jannat Ik aur hai Jo Mard ke Pehlu mein nahin -Kaifi Azmi
SHAYARI ON WOMEN’S EMPOWERMENT IMAGE
liked it? share it

SHAYARI VIDEO OF THE PERIOD

CONNECT NOW

Back to Top
close

Log In

Forgot password?

Forgot password?

Enter your account data and we will send you a link to reset your password.

Your password reset link appears to be invalid or expired.

Log in

Privacy Policy

To use social login you have to agree with the storage and handling of your data by this website. %privacy_policy%

Add to Collection

No Collections

Here you'll find all collections you've created before.