MASALA-E-PASAND
PASAND SHAYARI
-KARZDAAR MAYANK

PASAND SHAYARI : MASALA-E-PASAND IN ENGLISH
Yun to aesa bhi lagta hai kabhi
Saare ke saare ajab hain sabhi
Kehne ko sab se man ubh jaata hai
Apne saath poori zindagi bitaata hai
Khair mudda zamaana raha hi nahin
Aur asal mudda kabhi kahaa hi nahin
Mudda hai pasand Jo bayaan nahin ki gayi
Mudda hai kafan Jo zindagi ye jee gayi
Aur phir ye daastaan kis ki daastaan nahin
Wo unbujhi si pyaas kis ki pyaas nahin
Koi zyada der suhaata nahin hai
Koi dil se door jaata nahin hai
Aakhir wo itna pasand hi kyun aata hai
Aur phir aata hai to wo hi kyun aata hai
Masalaa saara pasand par aaya hai
Jo pasand aaya hai wo pasand aaya hai
Ya to ab Use khulkar kehne ki thhaan liya jaaye
Ya main uski hasrat hi nahin ye maan liya jaaye
Ab ke jab use meri aarzoo hi nahin.
Uski aarzoo karte jaana zindagi nahin
Phir ye baat samajh aati hoti to kya na hota
Shayad ‘Karzdaar’ Dil na hota, tu na hota

PASAND SHAYARI : MASALA-E-PASAND IN HINDI
यूं तो एसा भी लगता है कभी
सारे के सारे अजब हैं सभी
कहने को सब से मन ऊभ जाता है
अपने साथ पूरी ज़िन्दगी बिताता है
खैर मुद्दा ज़माना रहा ही नहीं
और असल मुद्दा कभी कहा ही नहीं
मुद्दा है पसंद हो बयां नहीं की गई
मुद्दा है कफ़न जो ज़िन्दगी ये जी गई
और फिर ये दास्तां किसकी दास्तां नहीं
वो अनबुझी सी प्यास किस की प्यास नहीं
कोई ज़्यादा देर सुहाता नहीं है
कोई दिल से दूर जाता नहीं है
आखिर वो इतना पसंद है क्यूं आता है
और फिर आता है तो वो ही क्यूं आता है
मसला सारा पसंद पर आया है
जो पसंद आया है, वो पसंद आया है
या तो अब उसे खुलकर कहने की ठान लिया जाए
या में उसकी हसरत ही नहीं ये मान लिया जाए
अबकी जब उसे मेरी आरज़ू ही नहीं
उसकी आरज़ू करते जाना ज़िंदगी नहीं
फिर ये बात समझ आती होती तो क्या न होता
शायद ‘ कर्जदार ‘ दिल ना होता, तू ना होता

(CLICK HERE TO GET BEST SHAYARI IMAGES ON YOUR INSTAFEED )