Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon Ghazal by Muztar Khairabadi

Explore the evocative verses of Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon Ghazal by Muztar Khairabadi, as he navigates themes of solitude and self-identity through his poetry.His words capture the essence of a solitary existence, yearning for connection, and the search for one’s place in the world.

SOURCE
Book : Khirman (Pg. 95) Author : Muztar Khairabadi Publication : Javed Akhtar (2015) Edition : 2015

Noted Poet And Writer Javed Akhtar Has Claimed That The Famous Ghazal “Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon” Has Been Penned By His Grandfather Muztar Khairabadi And Not By The Last Mughal Emperor Bahadur Shah Zafar, As It Is Popularly Believed.
न किसी की आँख का नूर हूँ न किसी के दिल का क़रार हूँ
कसी काम में जो न आ सके मैं वो एक मुश्त-ए-ग़ुबार हूँ

न दवा-ए-दर्द-ए-जिगर हूँ मैं न किसी की मीठी नज़र हूँ मैं
न इधर हूँ मैं न उधर हूँ मैं न शकेब हूँ न क़रार हूँ

मिरा वक़्त मुझ से बिछड़ गया मिरा रंग-रूप बिगड़ गया
जो ख़िज़ाँ से बाग़ उजड़ गया मैं उसी की फ़स्ल-ए-बहार हूँ

पए फ़ातिहा कोई आए क्यूँ कोई चार फूल चढ़ाए क्यूँ
कोई आ के शम्अ’ जलाए क्यूँ मैं वो बेकसी का मज़ार हूँ

न मैं लाग हूँ न लगाव हूँ न सुहाग हूँ न सुभाव हूँ
जो बिगड़ गया वो बनाव हूँ जो नहीं रहा वो सिंगार हूँ

मैं नहीं हूँ नग़्मा-ए-जाँ-फ़ज़ा मुझे सुन के कोई करेगा क्या
मैं बड़े बिरोग की हूँ सदा मैं बड़े दुखी की पुकार हूँ

न मैं ‘मुज़्तर’ उन का हबीब हूँ न मैं ‘मुज़्तर’ उन का रक़ीब हूँ
जो बिगड़ गया वो नसीब हूँ जो उजड़ गया वो दयार हूँ
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon Na Kisi Ke Dil Ka Qaraar Hoon
Kasi Kaam Mein Jo Na Aa Sake Main Wo Ek Musht-E-Ghubaar Hoon

Na Dawaa-E-Dard-E-Jigar Hun Main Na Kisi Ki MiThi Nazar Hoon Main
Na Idhar Hun Main Na Udhar Hun Main Na Shakeb Hun Na Qarar Hun

Mera Waqt Mujh Se BichhaD Gaya Mera Rang-Rup BigaD Gaya
Jo KHizan Se Bagh UjaD Gaya Main Usi Ki Fasl-E-Bahaar Hun

Pae Fatiha Koi Aae Kyun Koi Chaar Phul ChaDhae Kyun
Koi Aa Ke Shama Jalae Kyun Main Wo Bekasi Ka Mazar Hun

Na Main Lag Hun Na Lagaw Hun Na Suhag Hun Na Subhaw Hun
Jo BigaD Gaya Wo Banaw Hun Jo Nahin Raha Wo Singar Hun

Main Nahin Hun Naghma-E-Jaan-Faza Mujhe Sun Ke Koi Karega Kya
Main BaDe Birog Ki Hun Sada Main BaDe Dukhi Ki Pukar Hun

Na Main ‘Muztar’ Un Ka Habib Hun Na Main ‘Muztar’ Un Ka Raqib Hun
Jo BigaD Gaya Wo Nasib Hun Jo UjaD Gaya Wo Dayar Hun
Share It

Follow on Instagram

CLICK HERE TO GET THE BEST SHAYARI IMAGES ON YOUR INSTAFEED

You May Also Like