MUJHSE PEHLI SI MOHABBAT LYRICS
– FAIZ AHMAD FAIZ

MUJHSE PEHLI SI MOHABBATNA MAANG NAZM is the main sonnet that shows up in the second segment of Naqsh-e-Fariyadi, which denotes Faiz’s work day from conventional Urdu verse to “verse with reason”, verse with social still, small voice seeking after social causes. Faiz cites Persian artist, Nizami: “Dil-e-ba-farokhtam jaan-e-khareedam” ( “I have sold my heart and purchased a spirit”), directly at the begining of this segment.

MUJHSE PEHLI SI MOHABBAT LYRICS IN ENGLISH
Mujh se pehli si muhabbat
mere mehboob na maang
Maine samjhaa tha
ke tu hai to darakhshaan hai hayaat
Tera gham hai to
gham-e-dehar ka jhagdaa kyaa hai
Teri surat se hai aalam mein
bahaaron ko sabaat
Teri aankhon ke siwaa duniyaa mein
rakhkhaa kya hai
Tu jo mil jaaye to
taqdir nigoon ho jaaye
Yoon na thaa maine
faqat chaahaa thaa yoon ho jaaye
Aur bhi dukh hai zamaane mein
muhabbat ke siwaa
Raahatein aur bhi hain
vasl ki raahat ke siwaa
Anginat sadiyon ki taareeq
bahemaanaa tilism
Resham-o-atlas-o-kamkhwaab mein
bunvaaye hue
Ja-ba-ja bikte hue
koochaa-o-baazaar mein jism
Khaak mein lithade hue,
khoon mein nehlaaye hue
Jism nikle hue
amraaz ke tannooron se
Peep behti hui
galte hue naasooron se
Laut jaati hai udhar ko bhi nazar,
kya keeje?
Ab bhi dilkash hai tera husn,
magar kya keeje?
Aur bhi dukh hai zamaane mein
muhabbat ke siwaa
Raahatein aur bhi hain
vasl ki raahat ke siwaa
Mujh se pehli si muhabbat
mere mehboob na maang

MUJHSE PEHLI SI MOHABBAT LYRICS IN HINDI
मुझसे पहली सी मोहब्बत मेरे मेहबूब ना मांग
मैंने समझा के तू है तो दरख़्शाँ है हयात
तेरा ग़म है तो ग़म-ए-दहर का झगड़ा क्या है
तेरी सूरत से है आलम में बहारों को सबात
तेरी आँखों के सिवा दुनिया में रखा क्या है
तू जो मिल जाए तो तक़दीर निगूं हो जाये
यूँ ना था मैंने फ़क़त चाहा था यूँ हो जाये
और भी दुःख हैं ज़माने में मोहब्बत के सिवा
राहतें और भी हैं वस्ल की राहत के सिवा
अनगिनत सदियों के तारीक बहिमाना तिलिस्म
रेशम ओ अतलस ओ किम- ख़ाब में बुुंवाए हुए
जा-ब-जा बिकते हुए कूचे-ओ-बाज़ार में जिस्म
ख़ाक में लुथड़े हुए खून में नहलाये हुए
जिस्म निकले हुए अमराज़ के तनूरों से
पीप बहती हुई गलते हुए नासूरों से
लौट जाती है उधर को भी नज़र क्या कीजे
अब भी दिलकश है तेरा हुस्न मगर क्या कीजे
और भी दुःख हैं ज़माने में मोहब्बत के सिवा
राहतें और भी हैं वस्ल की राहत के सिवा
मुझसे पहली सी मोहब्बत
मेरे मेहबूब..
ना मांग
– फ़ैज़ अहमद फ़ैज़

(CLICK HERE TO GET BEST SHAYARI IMAGES ON YOUR INSTAFEED )