MOTIVATIONAL SHAYARI ON LIFE
SHAYAR – JALEEL ‘AALI’

MOTIVATIONAL SHAYARI ON LIFE IN ENGLISH
raasta sochte rahne se kidhar bantaa hai sar mein sauda ho to diwaar mein dar banta hai aag hi aag ho sine mein to kya phul jhaDen shola hoti hai zabaan lafz sharar banta hai zindagi soch azaabon mein guzari hai miyaan ek din mein kahaan andaaz-e-nazar banta hai
muddai taKHt ke aate hain chale jaate hain shahr ka taj koi KHaak-basar banta hai ishq ki rah ke meyar alag hote hain ek juda zaichaa-e-nafaa-o-zarar banta hai apna izhaar asir-e-rawish-e-aam nahin jaise kah den wahi meyar-e-hunar banta hai
MOTIVATIONAL SHAYARI ON LIFE IN HINDI
रास्ता सोचते रहने से किधर बनता है सर में सौदा हो तो दीवार में दर बनता है आग ही आग हो सीने में तो क्या फूल झड़ें शोला होती है ज़बाँ लफ़्ज़ शरर बनता है ज़िंदगी सोच अज़ाबों में गुज़ारी है मियाँ एक दिन में कहाँ अंदाज़-ए-नज़र बनता है
मुद्दई तख़्त के आते हैं चले जाते हैं शहर का ताज कोई ख़ाक-बसर बनता है इश्क़ की राह के मेयार अलग होते हैं इक जुदा ज़ाइच-ए-नफ़-ओ-ज़रर बनता है अपना इज़हार असीर-ए-रविश-ए-आम नहीं जैसे कह दें वही मेयार-ए-हुनर बनता है
– जलील ’आली’
(CLICK HERE TO GET BEST SHAYARI IMAGES ON YOUR INSTAFEED )