MAJBOORI SHAYARI – WESE SAB AATA HAI
–KARZDAAR MAYANK

This New Ghazal 2021 by Karzdaar Mayank mainly portrays the feeling of helplessness and somewhere accepting it as ‘okay’. Each and every sher, as found in other Karzdaar’s shayari also, uses very simple language. It gives you an opportunity to connect yourself with the ghazal. Relish it.
MAJBOORI SHAYARI – WESE SAB AATA HAI IN ENGLISH
Dil mein kuchh hota hai muh pe kuchh aata hai
Maut aati hai unke saamne wese sab aata hai
Jab parkha qaaynaat ko humne to ye parkha
Jo nahin aana chaahiye wo pasand aata hai
Mushkil padta hai jhoot kehne mein logon se
So khud se jhoot kehne ka hunar aata hai
Jo mehfilon mein mera naam bhul jaata hai aksar
Laanat hai ki usse pyaar ka Aitbaar aata hai
Mudda phir ye hai ki use farq hi nahin mujhse
Ab bhul jaayein mohabbat ka zikr kab aata hai
Shaayad apna kuchh yun bhi hona mushkil hai
Jahaan nahi aana chahiye wahan ‘Main’ aata hai
Abki milega jis din to lipat jaayega mere sine se
Ye din aata hai to khwaab mein hi kyun aata hai
Wo phul hai, sab ke liye mehkta hai ‘Karzdaar’
Tum bataao, tumhaare liye kya khaas aata hai

MAJBOORI SHAYARI – WESE SAB AATA HAI IN HINDI
दिल में कुछ होता है मुंह पे कुछ आता है
मौत आती है उनके सामने वैसे सब आता है
जब परखा कायनात को हमने तो ये परखा
जो नहीं आना चाहिए वो पसंद आता है
मुश्किल पड़ता है झूठ कहने में लोगों से
सो खुद से झूठ कहने का हुनर आता है
जो महफिलों में मेरा नाम भूल जाता है अक्सर
लानत है की उससे प्यार का ऐतबार आता है
मुद्दा फिर ये है की उसे फ़र्क़ ही नहीं मुझसे
अब भूल जाएं मोहब्बत का ज़िक्र कब आता है
शायद अपना कुछ यूँ भी होना मुश्किल है
जहां नहीं आना चाहिए वहां ‘ मैं ‘ आता है
अबकी मिलेगा जिस दिन तो लिपट जाएगा मेरे सीने से
ये दिन आता है तो ख्वाब में ही क्यों आता है
वो फूल है, सब के लिए महकता है ‘कर्ज़दार’
तुम बताओ, तुम्हारे लिए क्या ख़ास आता है?

(CLICK HERE TO GET BEST SHAYARI IMAGES ON YOUR INSTAFEED )