KHWAB KI TARAH BIKHAR JANE
–IFTIKHAR ARIF

KHWAB KI TARAH BIKHAR JANE IN ENGLISH
KHwaab ki tarah bikhar jaane ko ji chaahta hai
aisi tanhaai ki mar jaane ko ji chaahta hai
ghar ki wahshat se larazta hun magar jaane kyun
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chaahta hai
Doob jaaun to koi mauj nishaan tak na bataae
aisi nadi mein utar jaane ko ji chaahta hai
kabhi mil jaae to raste ki thakaan jaag paDe
aisi manzil se guzar jaane ko ji chaahta hai
wahi paimaan jo kabhi ji ko KHush aaya tha bahut
usi paimaan se mukar jaane ko ji chaahta hai

KHWAB KI TARAH BIKHAR JANE IN HINDI
ख़्वाब की तरह बिखर जाने को जी चाहता है
ऐसी तन्हाई कि मर जाने को जी चाहता है
घर की वहशत से लरज़ता हूँ मगर जाने क्यूँ
शाम होती है तो घर जाने को जी चाहता है
डूब जाऊँ तो कोई मौज निशाँ तक न बताए
ऐसी नद्दी में उतर जाने को जी चाहता है
कभी मिल जाए तो रस्ते की थकन जाग पड़े
ऐसी मंज़िल से गुज़र जाने को जी चाहता है
वही पैमाँ जो कभी जी को ख़ुश आया था बहुत
उसी पैमाँ से मुकर जाने को जी चाहता है
– इफ़्तिख़ार आरिफ़

(CLICK HERE TO GET THE BEST SHAYARI IMAGES ON YOUR INSTAFEED)