KHOON APNA HO YA PARAYA HO
(JUNG)
NAZM BY SAHIR LUDIANVI

(JUNG) KHOON APNA HO YA PARAYA HO LYRICS ENGLISH
khoon apna ho ya paraya ho
nasl-e-aadam ka KHoon hai aaKHir
jung mashriq mein ho ki maghrib mein
amn-e-aalam ka KHoon hai aaKHir

bam gharon par giren ki sarhad par
ruh-e-taamir zaKHm khaati hai
khet apne jalein ki auron ke
zist phaaqon se tilmilaati hai
tank aage baDhen ki pichhe haTen
kokh dharti ki baanjh hoti hai
fateh ka jashn ho ki haar ka sog
zindagi mayyaton pe roti hai
jung to KHud hi ek masalaa hai
jung kya masalon ka hal degi
aag aur KHun aaj baKHshegi
bhuk aur ehtiyaj kal degi
is liye ai sharif insaano
jung Talti rahe to behtar hai
aap aur hum sabhi ke aangan mein
shammaa jalti rahe to behtar hai
2
bartari ke subut ki KHaatir
KHun bahaana hi kya zaruri hai
ghar ki tarikiyaan miTaane ko
ghar jalaana hi kya zaruri hai

jung ke aur bhi to maidaan hain
sirf maidan-e-kisht-o-KHun hi nahin
haasil-e-zindagi KHirad bhi hai
haasil-e-zindagi junun hi nahin
aao is tira-baKHt duniya mein
fikr ki raushni ko aam karein
amn ko jin se taqwiyat pahunche
aisi jangon ka ehtimaam karein
jung wahshat se barbariyyat se
amn tahzib o irtiqaa ke liye
jung marg-afrin siyaasat se
amn insaan ki baqaa ke liye
jung iflaas aur ghulaami se
amn behtar nizaam ki KHatir
jung bhaTki hui qayaadat se
amn be-bas aawaam ki KHatir
jung sarmaae ke tasallut se
amn jamhur ki KHushi ke liye
jung jangon ke falsafe ke KHilaf
amn pur-amn zindagi ke liye
SOURCE :
Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 210)
Author : SAHIR LUDHIANVI
Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd

(JUNG) KHOON APNA HO YA PARAYA HO LYRICS HINDI
ख़ून अपना हो या पराया हो
नस्ल-ए-आदम का ख़ून है आख़िर
जंग मशरिक़ में हो कि मग़रिब में
अम्न-ए-आलम का ख़ून है आख़िर
बम घरों पर गिरें कि सरहद पर
रूह-ए-तामीर ज़ख़्म खाती है
खेत अपने जलें कि औरों के
ज़ीस्त फ़ाक़ों से तिलमिलाती है
टैंक आगे बढ़ें कि पिछे हटें
कोख धरती की बाँझ होती है
फ़त्ह का जश्न हो कि हार का सोग
ज़िंदगी मय्यतों पे रोती है
जंग तो ख़ुद ही एक मसअला है
जंग क्या मसअलों का हल देगी
आग और ख़ून आज बख़्शेगी
भूक और एहतियाज कल देगी
इस लिए ऐ शरीफ़ इंसानो
जंग टलती रहे तो बेहतर है
आप और हम सभी के आँगन में
शम्अ’ जलती रहे तो बेहतर है
2
(adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({});बरतरी के सुबूत की ख़ातिर
ख़ूँ बहाना ही क्या ज़रूरी है
घर की तारीकियाँ मिटाने को
घर जलाना ही क्या ज़रूरी है
जंग के और भी तो मैदाँ हैं
सिर्फ़ मैदान-ए-किश्त-ओ-ख़ूँ ही नहीं
हासिल-ए-ज़िंदगी ख़िरद भी है
हासिल-ए-ज़िंदगी जुनूँ ही नहीं
आओ इस तीरा-बख़्त दुनिया में
फ़िक्र की रौशनी को आम करें
अम्न को जिन से तक़्वियत पहुँचे
ऐसी जंगों का एहतिमाम करें
जंग वहशत से बरबरिय्यत से
अम्न तहज़ीब ओ इर्तिक़ा के लिए
जंग मर्ग-आफ़रीं सियासत से
अम्न इंसान की बक़ा के लिए
जंग इफ़्लास और ग़ुलामी से
अम्न बेहतर निज़ाम की ख़ातिर
जंग भटकी हुई क़यादत से
अम्न बे-बस अवाम की ख़ातिर
जंग सरमाए के तसल्लुत से
अम्न जम्हूर की ख़ुशी के लिए
जंग जंगों के फ़लसफ़े के ख़िलाफ़
अम्न पुर-अम्न ज़िंदगी के लिए
स्रोत: पुस्तक : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (पृष्ठ 210)
रचनाकार : साहिर लुधियानवी
प्रकाशन : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
THIS IS THE AUDIO RECITATION OF JUNG (KHOON APNA HO YA PARAYA HO) – SAHIR LUDHIANVI.
