FARZ
KAIFI AZMI NAZM

KAIFI AZMI NAZM IN ENGLISH : FARZ
Aur phir Krishna ne Arjun se kahaa –
Na koi bhaai, na beta, na bhateeja, na guru
Ek hi shakl ubharti hai har aaine mein
Aatma Marti nahin, jism badal leti hai
Dhadhhkan iss seeneki jaa chhupti hai uss seene mein
Jism lete hain janam, jism fana hote hain
Aur Jo ik roz fanaa hoga, wo paida hoga
Ik kadhhi toot.ti hai, doosri ban jaati hai
Khatm ye silsila-e-zindagi phir kya hoga
Rishte sau, jazbe bhi sau, chehre bhi sau hote hain,
Farz sau chehre mein shakl apni hi pehchanataa hai
Wahi mehboob, wahi dost, wahi ek azeez
Dil jise Ishq, aur adraak Amal maanta hai
Zindagi sirf amal, sirf amal, sirf amal
Aur ye bedard amal sulah bhi hai Jung bhi hai
Amn ki mohini tasveer mein hain jitne rang
Unhin rangon mein chhupa khun ka ik rang bhi hai

Khauf ke Roop kayi hote hain, Andaaz Kai
Pyaar samjha hai jise, Khauf hai wo pyaar nahin
Ungliyaan aur gadhha, aur jakadhh, aur jakadhh
Aaj mehboob ka baazu hai ye talvaar nahin
Jang rehmat hai ki laanat, ye sawaal ab na uthha
Jang ab aa hi gayi sar pe to rehmat hogi
Door se Dekh na bhadhhke huye sholon ka jalaal
Isi Dozakh ke kisi kone mein Jannat hogi
Zakhm kha, Zakhm lagaa, Zakhm hai kis ginati mein
Farz zakhmon ko bhi Chun leta hai Phoolon ki tarah
Na koi ranj, na raahat, na sile ki Parwaah
Paak har gard se rakh Dil ko rasoolon ki tarah
Ye padhhosi Jo mohabbat ka chalan bhool Gaye
Inmein bhaai bhi hain, bete bhi hain, ehbaab bhi hain
jaanate hai ye sabhi kuchh nahin Hathiyaar magar
Humse ladhh marne ko taiyyar bhi, betaab bhi hain
Humne chaaha tha rahein saath dil-o-jaan ki tarah
Wo Magar isko siyaasat hi siyaasat samjhe
Humne chaaha tha alag ho ke bhi nazdeek rahein
Wo magar isko koi taaza sharaarat samjhe
Humne chaaha tha ladhhai na chhidhhe, Jang na ho
Wo samajh baithe ki kamzor hain, laachaar hain hum
Humne chaaha tha mohabbat se chuka lein jhagdhhe
Wo samajh Bethhe ki maflooz hain, bekaar hain hum
Kitna taareek samajh, kitna giraan-khwaab-zameer
Ki jagaanaa koi chaahe to jagaaye na banein
Asalahe sir pe uthhaye huye yon phirte hain
koi poochhe ki Kya hai to chhupaaye na bane
Hum ahinsa ke pujaari sahi, deewane sahi
Jung hoti hai, faqat Jung ke aelaan ke baad
Haath bhi unse milein, Dil bhi milein, nazrein bhi
Ab ye armaan hai sab fateh ke armaan ke baad
Saathiyon! Doston! Hum aaj ke Arjun hi to hain
humse bhi Krishna yahi kehte hain

KAIFI AZMI NAZM IN HINDI : फ़र्ज़
और फ़िर कृष्ण ने अर्जुन से कहा-
न कोई भाई, न बेटा, न भतीजा, न गुरु
एक ही शक्ल उभरती है हर आईने में
आत्मा मरती नहीं, जिस्म बदल लेती है
धड़कन इस सीने की जा छुपती है उस सीने में
जिस्म लेते हैं जनम, जिस्म फ़ना होते हैं
और जो इक रोज़ फ़ना होगा, वो पैदा होगा
इक कड़ी टूटती है, दूसरी बन जाती है
ख़त्म ये सिलसिला-ए-ज़िन्दगी फिर क्या होगा
रिश्ते सौ, जज़्बे भी सौ, चेहरे भी सौ होते हैं
फ़र्ज़ सौ चेहरों में शक्ल अपनी ही पहचानता है
वही महबूब, वही दोस्त, वही एक अज़ीज़
दिल जिसे इश्क़, और इदराक अमल मानता है
ज़िन्दगी सिर्फ़ अमल, सिर्फ़ अमल, सिर्फ़ अमल
और ये बेदर्द अमल सुलह भी है जंग भी है
अम्न की मोहिनी तस्वीर में हैं जितने रंग
उन्हीं रंगों में छुपा खून का इक रंग भी है
ख़ौफ़ के रूप कई होते हैं, अन्दाज़ कई
प्यार समझा है जिसे, ख़ौफ़ है वो प्यार नहीं
उंगलियाँ और गड़ा, और जकड़, और जकड़
आज महबूब का बाज़ू है ये तलवार नहीं
जंग रहमत है कि लानत, ये सवाल अब न उठा
जंग अब आ ही गयी सर पे तो रहमत होगी
दूर से देख न भड़के हुए शोलों का जलाल
इसी दोजख़ के किसी कोने में जन्नत होगी
ज़ख़्म खा, ज़ख़्म लगा, ज़ख़्म है किस गिनती में
फ़र्ज़ ज़ख़्मों को भी चुन लेता है फूलों की तरह
न कोई रंज, न राहत, न सिले की परवा
पाक हर गर्द से रख दिल को रसूलों की तरह
ये पड़ोसी जो मोहब्बत का चलन भूल गये
इनमें भाई भी हैं, बेटे भी हैं, अहबाब भीं हैं
जानते हैं ये सभी कुछ नहीं हथियार मगर
हमसे लड़ मरने को तैयार भी, बेताब भी हैं
हमने चाहा था रहें साथ दिल-ओ-जाँ की तरह
वो मगर इसको सियासत ही सियासत समझे
हमने चाहा था अलग हो के भी नज़दीक रहें
वो मगर इसको कोई ताज़ा शरारत समझे
हमने चाहा था लड़ाई न छिड़े, जंग न हो
वो समझ बैठे कि कमज़ोर हैं, लाचार हैं हम
हमने चाहा था मोहब्बत से चुका लें झगड़े
वो समझ बैठे कि मफ़लूज़ हैं, बेकार हैं हम
कितना तारीक समझ, कितना गिराँ-ख़्वाब-ज़मीर
कि जगाना कोई चाहे तो जगाये न बने
असलहे सिर पे उठाये हुए यों फिरते हैं
कोई पूछे कि क्या है तो छुपाये न बने
हम अहिंसा के पुजारी सही, दीवाने सही
जंग होती है फ़क़त जंग के एलान के बाद
हाथ भी उनसे मिलें, दिल भी मिलें, नज़रें भी
अब ये अरमान है सब फ़त्ह के अरमान के बाद
साथियो!, दोस्तो!, हम आज के अर्जुन ही तो हैं
हमसे भी कृष्ण यही कहते हैं….!