Switch to the dark mode that's kinder on your eyes at night time.

Switch to the light mode that's kinder on your eyes at day time.

DIL MEIN KISI KE RAAH KIYE JAA RAHA HOON MAIN LYRICAL VIDEO

JIGAR MORADABADI FAMOUS SHAYARI

DIL MEIN KISI KE RAAH KIYE JAA RAHA HOON MAIN

JIGAR MORADABADI FAMOUS SHAYARI - dil mein kisi ke raah kiye jaa raha hoon main kitna hasin gunaah kiye jaa raha hoon main - Jigar Moradabadi
JIGAR MORADABADI FAMOUS SHAYARI IMAGE

JIGAR MORADABADI FAMOUS SHAYARI IN ENGLISH

dil mein kisi ke raah kiye jaa raha hoon main
kitna hasin gunaah kiye jaa raha hoon main

duniya-e-dil tabaah kiye jaa raha hoon main
sarf-e-nigaah-o-ah kiye jaa raha hoon main

fard-e-amal siyaah kiye jaa raha hoon main
rahmat ko be-panaah kiye jaa raha hoon main

aisi bhi ek nigaah kiye jaa raha hoon main
zarron ko mehr-o-maah kiye jaa raha hoon main

mujh se lage hain ishq ki azmat ko chaar chand
KHud husn ko gawaah kiye jaa raha hoon main

daftar hai ek maani-e-be-lafz-o-saut ka
saadaa si jo nigaah kiye jaa raha hoon main

aage qadam baDhaen jinhen sujhata nahin
raushan charaagh-e-raah kiye jaa raha hoon main

masumi-e-jamal ko bhi jin pe rashk hai
aise bhi kuchh gunaah kiye jaa raha hoon main

tanqid-e-husn maslahat-e-KHaas-e-ishq hai
ye jurm gaah gaah kiye jaa raha hoon main

uThti nahin hai aankh magar us ke ru-ba-ru
naadida ek nigaah kiye jaa raha hoon main

gulshan-parast hun mujhe gul hi nahin aziz
kanTon se bhi nibaah kiye jaa raha hoon main

yun zindagi guzaar raha hun tere baghair
jaise koi gunaah kiye jaa raha hoon main

mujh se adaa hua hai ‘jigar’ justuju ka haq
har zarre ko gawaah kiye jaa raha hoon main

JIGAR MORADABADI FAMOUS SHAYARI IMAGE - mujh se lage hain ishq ki azmat ko chaar chand KHud husn ko gawaah kiye jaa raha hoon main - Jigar Moradabadi
JIGAR MORADABADI FAMOUS SHAYARI IMAGE

JIGAR MORADABADI FAMOUS SHAYARI IN HINDI

दिल में किसी के राह किए जा रहा हूँ मैं
कितना हसीं गुनाह किए जा रहा हूँ मैं

दुनिया-ए-दिल तबाह किए जा रहा हूँ मैं
सर्फ़-ए-निगाह-ओ-आह किए जा रहा हूँ मैं

फ़र्द-ए-अमल सियाह किए जा रहा हूँ मैं
रहमत को बे-पनाह किए जा रहा हूँ मैं

ऐसी भी इक निगाह किए जा रहा हूँ मैं
ज़र्रों को मेहर-ओ-माह किए जा रहा हूँ मैं

मुझ से लगे हैं इश्क़ की अज़्मत को चार चाँद
ख़ुद हुस्न को गवाह किए जा रहा हूँ मैं

दफ़्तर है एक मानी-ए-बे-लफ़्ज़-ओ-सौत का
सादा सी जो निगाह किए जा रहा हूँ मैं

आगे क़दम बढ़ाएँ जिन्हें सूझता नहीं
रौशन चराग़-ए-राह किए जा रहा हूँ मैं

मासूमी-ए-जमाल को भी जिन पे रश्क है
ऐसे भी कुछ गुनाह किए जा रहा हूँ मैं

तन्क़ीद-ए-हुस्न मस्लहत-ए-ख़ास-ए-इश्क़ है
ये जुर्म गाह गाह किए जा रहा हूँ मैं

उठती नहीं है आँख मगर उस के रू-ब-रू
नादीदा इक निगाह किए जा रहा हूँ मैं

गुलशन-परस्त हूँ मुझे गुल ही नहीं अज़ीज़
काँटों से भी निबाह किए जा रहा हूँ मैं

यूँ ज़िंदगी गुज़ार रहा हूँ तिरे बग़ैर
जैसे कोई गुनाह किए जा रहा हूँ मैं

मुझ से अदा हुआ है ‘जिगर’ जुस्तुजू का हक़
हर ज़र्रे को गवाह किए जा रहा हूँ मैं

जिगर मुरादाबादी 

gulshan-parast hun mujhe gul hi nahin aziz kanTon se bhi nibaah kiye jaa raha hoon main - Jigar Moradabadi
JIGAR MORADABADI FAMOUS SHAYARI IMAGE

(CLICK HERE TO GET BEST SHAYARI IMAGES ON YOUR INSTAFEED )

liked it? share it

SHAYARI VIDEO OF THE PERIOD

CONNECT NOW

Back to Top
close

Log In

Forgot password?

Forgot password?

Enter your account data and we will send you a link to reset your password.

Your password reset link appears to be invalid or expired.

Log in

Privacy Policy

To use social login you have to agree with the storage and handling of your data by this website. %privacy_policy%

Add to Collection

No Collections

Here you'll find all collections you've created before.