ILAAJ YE HAI KI MAJBOOR GHAZAL
(GANWAAI KIS KI TAMANNA MEIN ZINDAGI MAIN NE)
–JAUN ELIYA
ganwai kis ki tamanna mein zindagi main ne
wo kaun hai jise dekha nahin kabhi main ne
tera khayaal to hai par tera wajood nahin
tere liye to ye mehfil sajaai thi main ne
tere adam ko gawaara na tha wajood mera
so apni bekh-kani mein kami na ki main ne
hain meri zaat se mansub sad-fasaana-e-ishq
aur ek satar bhi ab tak nahin likhi main ne
khud apne ishwa o andaz ka shaheed hun main
khud apni zaat se barti hai be-rukhi main ne
mere harif meri yakka-taziyon pe nisaar
tamaam umr halifon se jung ki main ne
kharaash-e-naghma se sina chhila hua hai mera
fughan ki tark na ki naghma-parwari main ne
dawa se faeda maqsud tha hi kab ki faqat
dawa ke shauq mein sehat tabah ki main ne
zabana-zan tha jigar-soz tishnagi ka azaab
so jauf-e-sina mein dozakh undel li main ne
surur-e-mai pe bhi ghaalib raha shuur mera
ki har riayat-e-gham zehn mein rakhi main ne
gham-e-shuur koi dam to mujh ko mohlat de
tamam umr jalaya hai apna ji main ne
ilaaj ye hai ki majboor kar diya jaaun
wagarna yun to kisi ki nahin suni main ne

raha main shahid-e-tanha nashin-e-masnad-e-gham
aur apne karb-e-ana se gharaz rakhi main ne
ILAAJ YE HAI KI MAJBOOR – JAUN ELIYA (FULL GHAZAL) IN HINDI
गँवाई किस की तमन्ना में ज़िंदगी मैं ने
वो कौन है जिसे देखा नहीं कभी मैं ने
तिरा ख़याल तो है पर तिरा वजूद नहीं
तिरे लिए तो ये महफ़िल सजाई थी मैं ने
तिरे अदम को गवारा न था वजूद मिरा
सो अपनी बेख़-कुनी की कमी न की मैं ने
हैं मेरी ज़ात से मंसूब सद फ़साना-ए-इश्क़
और एक सत्र भी अब तक नहीं लिखी मैं ने
ख़ुद अपने इश्वा-ओ-अंदाज़ का शहीद हूँ मैं
ख़ुद अपनी ज़ात से बरती है बे-रुख़ी मैं ने
मिरे हरीफ़ मिरी यक्का-ताज़ियों पे निसार
तमाम उम्र हलीफ़ों से जंग की मैं ने
ख़राश-ए-नग़्मा से सीना छिला हुआ है मिरा
फ़ुग़ाँ कि तर्क न की नग़्मा-परवरी मैं ने
दवा से फ़ाएदा मक़्सूद था ही कब कि फ़क़त
दवा के शौक़ में सेहत तबाह की मैं ने
ज़बाना-ज़न था जिगर-सोज़ तिश्नगी का अज़ाब
सो जौफ़-ए-सीना में दोज़ख़ उंडेल ली मैं ने
सुरूर-ए-मय पे भी ग़ालिब रहा शुऊ’र मिरा
कि हर रिआयत-ए-ग़म ज़ेहन में रखी मैं ने
ग़म-ए-शुऊर कोई दम तो मुझ को मोहलत दे
तमाम-उम्र जलाया है अपना जी मैं ने
इलाज ये है कि मजबूर कर दिया जाऊँ
वगर्ना यूँ तो किसी की नहीं सुनी मैं ने
रहा मैं शाहिद-ए-तन्हा नशीन-ए-मसनद-ए-ग़म
और अपने कर्ब-ए-अना से ग़रज़ रखी मैं ने
– जौन एलिया
(CLICK HERE TO GET BEST SHAYARI IMAGES ON YOUR INSTAFEED )