Switch to the dark mode that's kinder on your eyes at night time.

Switch to the light mode that's kinder on your eyes at day time.

HOLI NAZM LYRICAL SHAYARI VIDEO

HOLI NAZM

NAZEER BANARASI

HOLI NAZM IMAGE : ye din sitaare dikhaate hain kitni chaal ke baad_ye din gaya to phir aayega ek saal ke baad - Nazeer Banarasi Holi Nazm- HOLI FESTIVAL SHAYARI
HOLI NAZM IMAGE

HOLI NAZM LYRICS IN ENGLISH

kahin padhhe na mohabbat ki maar holi mein
adaa se prem karo dil se pyaar holi mein
gale mein Daal do baanhon ka haar holi mein
utaaro ek baras ka KHumar holi mein

milo gale se gale baar baar holi mein

lagaa ke aag badhhhi aage raat ki jogan
naye libaas mein aai hai subah ki maalan
nazar nazar hai kunwari adaa adaa kamsin
hain rang rang se sab rang-baar holi mein

milo gale se gale baar baar holi mein

hawaa har ek ko chal phir ke gudgudaati hai
nahin jo hanste unhen chhedhh kar hansaati hai
hayaa gulon ko to kaliyon ko sharm aati hai
badhhao badhh ke chaman ka waqaar holi mein

milo gale se gale baar baar holi mein

ye kis ne rang bharaa har kali ki pyaali mein
gulaal rakh diya kis ne gulon ki thaali mein
kahaan ki masti hai maalan mein aur maali mein
yahi hain saare chaman ki pukaar holi mein

milo gale se gale baar baar holi mein

tumhin se phul chaman ke tumhin se phulwaari
sajaye jaao dilon ke gulaab ki kyaari
chalaye jaao nashili nazar se pichkaari
luTaaye jaao baraabar bahaar holi mein

milo gale se gale baar baar holi mein

mile ho baara mahinon ki dekh-bhaal ke baad
ye din sitaare dikhaate hain kitni chaal ke baad
ye din gaya to phir aayega ek saal ke baad
nigaahen karte chalo chaar yaar holi mein

milo gale se gale baar baar holi mein

buraai aaj na aise rahe na waise rahe
safaai dil mein rahe aaj chahe jaise rahe
ghubar dil mein kisi ke rahe to kaise rahe
abir udhhti hai ban kar ghubaar holi mein

milo gale se gale baar baar holi mein

hayaa mein Dubne wale bhi aaj ubharte hain
hasin shoKHiyaan karte hue guzarte hain
jo choT se kabhi bachte the choT karte hain
hiran bhi khel rahe hain shikaar holi mein

milo gale se gale baar baar holi mein

hayaa mein Dubne wale bhi aaj ubharte hain _hasin shoKHiyaan karte hue guzarte hain - Nazeer Banarasi Holi Nazm
HOLI NAZM IMAGE

HOLI NAZM LYRICS IN HINDI

कहीं पड़े न मोहब्बत की मार होली में
अदा से प्रेम करो दिल से प्यार होली में
गले में डाल दो बाँहों का हार होली में
उतारो एक बरस का ख़ुमार होली में

मिलो गले से गले बार बार होली में

लगा के आग बढ़ी आगे रात की जोगन
नए लिबास में आई है सुब्ह की मालन
नज़र नज़र है कुँवारी अदा अदा कमसिन
हैं रंग रंग से सब रंग-बार होली में

मिलो गले से गले बार बार होली में

हवा हर एक को चल फिर के गुदगुदाती है
नहीं जो हँसते उन्हें छेड़ कर हंसाती है
हया गुलों को तो कलियों को शर्म आती है
बढ़ाओ बढ़ के चमन का वक़ार होली में

मिलो गले से गले बार बार होली में

ये किस ने रंग भरा हर कली की प्याली में
गुलाल रख दिया किस ने गुलों की थाली में
कहाँ की मस्ती है मालन में और माली में
यही हैं सारे चमन की पुकार होली में

मिलो गले से गले बार बार होली में

तुम्हीं से फूल चमन के तुम्हीं से फुलवारी
सजाए जाओ दिलों के गुलाब की क्यारी
चलाए जाओ नशीली नज़र से पिचकारी
लुटाए जाओ बराबर बहार होली में

मिलो गले से गले बार बार होली में

मिले हो बारा महीनों की देख-भाल के ब’अद
ये दिन सितारे दिखाते हैं कितनी चाल के ब’अद
ये दिन गया तो फिर आएगा एक साल के ब’अद
निगाहें करते चलो चार यार होली में

मिलो गले से गले बार बार होली में

बुराई आज न ऐसे रहे न वैसे रहे
सफ़ाई दिल में रहे आज चाहे जैसे रहे
ग़ुबार दिल में किसी के रहे तो कैसे रहे
अबीर उड़ती है बन कर ग़ुबार होली में

मिलो गले से गले बार बार होली में

हया में डूबने वाले भी आज उभरते हैं
हसीन शोख़ियाँ करते हुए गुज़रते हैं
जो चोट से कभी बचते थे चोट करते हैं
हिरन भी खेल रहे हैं शिकार होली में

मिलो गले से गले बार बार होली में

नज़ीर बनारसी

gale mein Daal do baanhon ka haar holi mein _utaaro ek baras ka KHumar holi mein - Nazeer Banarasi Holi Nazm
HOLI NAZM IMAGE

SOURCE :
Book : Kulliyat-e-Nazeer Banarasi (Pg. 383) Author : naziir banarsi Publication : Educational Publishing House, Delhi (2014) Edition : 2014

luTaaye jaao baraabar bahaar holi mein _milo gale se gale baar baar holi mein _ - Nazeer Banarasi Holi Nazm
HOLI NAZM IMAGE

(CLICK HERE TO GET BEST SHAYARI IMAGES ON YOUR INSTAFEED )

liked it? share it

SHAYARI VIDEO OF THE PERIOD

CONNECT NOW

Back to Top
close

Log In

Forgot password?

Forgot password?

Enter your account data and we will send you a link to reset your password.

Your password reset link appears to be invalid or expired.

Log in

Privacy Policy

To use social login you have to agree with the storage and handling of your data by this website. %privacy_policy%

Add to Collection

No Collections

Here you'll find all collections you've created before.