DIL KE BEHLANE KO GHALIB GHAZAL LYRICS
SHAYAR : MIRZA GHALIB

DIL KE BEHLANE KO GHALIB GHAZAL IN ENGLISH
husn-e-maah garche ba hangaam-e-kamaal achhaa hai
us se meraa maah-e-khurshiid-jamaal achhaa hai
bosaa dete nahi.n aur dil pe hai har lahzaa nigaah
jii mei.n kahte hai.n ki muft haa.nth aaye to maal achhaa hai
aur baazaar se le aaye agar TuuT gayaa
saagar-e-jam se meraa jaam-e-sifaal achhaa hai
be-talab de.n to mazaa usme sivaa miltaa hai
vo gadaa jis mei.n na ho khuu-e-sawaal achhaa hai
un ke dekhe se jo aa jaatii hai mu.nh pe raunak
vo samajhte hai.n ki biimaar kaa haal achhaa hai
dekhiye paate hai.n ushhaak buto.n se kyaa faiz
Ik barhaman ne kahaa hai ki ye saal achha hai
ek ham-sukhan teshe ne farhaad ko shiriin se kiyaa
jis tarah kaa ki mei.n ho kamaal achhaa hai
katraa dariyaa mei.n jo mil jaaye to dariyaa ho jaaye
kaam achhaa hai vo jis kaa ma’aal achhaa hai
khizr-sultaan ko rakhe khaalik-e-akbar sar-sabz
shaah ke baagh mei.n ye taazaa nihaal achhaa hai
ham ko maaluum hai jannat kii hakiiqat lekin
dil ke khush rakhne ko ‘Ghalib’ ye khayaal achhaa hai /
dil ke behlaane ko ‘Ghalib’ ye khayaal achhaa hai
(dil ke khush rakhne ko Ghalib ye khayaal achhaa hai /dil ke behlaane ko ‘Ghalib’ ye khayaal achhaa hai : both of these lines are used interchangaebly)
DIL KE BEHLANE KO GHALIB GHAZAL IN HINDI
हुस्न-ए-मह गरचे ब-हंगाम-ए-कमाल अच्छा है उस से मेरा मह-ए-ख़ुर्शीद-जमाल अच्छा है बोसा देते नहीं और दिल पे है हर लहज़ा निगाह जी में कहते हैं कि मुफ़्त आए तो माल अच्छा है और बाज़ार से ले आए अगर टूट गया साग़र-ए-जम से मिरा जाम-ए-सिफ़ाल अच्छा है बे-तलब दें तो मज़ा उस में सिवा मिलता है वो गदा जिस को न हो ख़ू-ए-सवाल अच्छा है उन के देखे से जो आ जाती है मुँह पर रौनक़ वो समझते हैं कि बीमार का हाल अच्छा है देखिए पाते हैं उश्शाक़ बुतों से क्या फ़ैज़ इक बरहमन ने कहा है कि ये साल अच्छा है हम-सुख़न तेशा ने फ़रहाद को शीरीं से किया जिस तरह का कि किसी में हो कमाल अच्छा है क़तरा दरिया में जो मिल जाए तो दरिया हो जाए काम अच्छा है वो जिस का कि मआल अच्छा है ख़िज़्र-सुल्ताँ को रखे ख़ालिक़-ए-अकबर सरसब्ज़ शाह के बाग़ में ये ताज़ा निहाल अच्छा है हम को मालूम है जन्नत की हक़ीक़त लेकिन दिल के ख़ुश रखने को 'ग़ालिब' ये ख़याल अच्छा है
शायर – मिर्ज़ा ग़ालिब
GIVEN THE POPULARITY OF THE SHER :
“ham ko maaluum hai jannat kii hakiiqat lekin
dil ke khush rakhne ko Ghalib ye khayaal achhaa hai /
dil ke behlaane ko ‘Ghalib’ ye khayaal achhaa hai”,
THE TITLE IS WHAT IT IS.
DIL KE BEHLANE KO GHALIB GHAZAL.
(THIS IS THE AUDIO LINK TO DIL KE BEHLANE KO GHALIB GHAZAL)