Switch to the dark mode that's kinder on your eyes at night time.

Switch to the light mode that's kinder on your eyes at day time.

Relish the smiling famous Deepavali shayari by Nazeer Banarasi recited by Karzdaar Mayank.

DEEPAVALI SHAYARI

NAZEER BANARASI

Meri saanson ko geet aur aatma ko saaz deti hai Ye deewali hai sab ko jeene ka andaaz ko saaz deti hai- Nazeer Banarasi
DEEPAVALI SHAYARI IMAGE

DEEPAVALI SHAYARI IN ENGLISH

Meri saanson ko geet aur aatma ko saaz deti hai
Ye deewali hai sab ko jeene ka andaaz ko saaz deti hai

Hridaya ke dwaar par reh reh ke deta hai koi dastak
Baraabar zindagi awaaz par awaaz deti hai

Simat.ta hai andhera paanv phailaati hai diwaali
Hansaaye jaati hai rajni, hanse jaati hai deewali

Qataarein dekhta hoon chalte-phirte maah-paaron ki
Ghaatein aanchalon ki aur barkha hai sitaaron ki

Wo kaale kaale gesu surkh hont aur phool se aariz
Nagar mein har taraf pariyaan tahalti hain bahaaron ki

Nigaahon ka muqaddar aa ke chamkaati hai deewali
Pehan kar deep-maala naaz farmaati hai diwaali

Ujaale ka zamaana hai ujaale ki javaani hai
Ye hansti jagmagaati raat sab raaton ki raani hai

Wahi duniya hai lekin husn dekho aaj duniya ka
Hai jab tak raat baaqi keh nahin sakte ki faani hai

Wo jeevan aaj ki raat aa ke barsaati hai deewali
Paseena maut ke maathe pe chhalkaati hai deewali

Sabhi ke deep sundar hain hamaare kya tumhaare kya
Ujaala har taraf hai is kinaare us kinaare kya

Gagan ki jagmagaahat padhh gayi hai aaj maddham kyun
Munderon aur chhajjon par utar aaye hain taare kya

Hazaaron saal guzre phir bhi jab aati hai deewali
Mahal ho chaahe kuTiya sab pe chha jaati hai deewali

Isi din Draupadi ne Krishn ko bhaai banaaya tha
Vachan ke dene waale ne vachan apna nibhaya tha

Janam din lakshmi ka hai bhala is din ka kya kehna
Yahi wo din hai jis ne raam ko raaja banaaya tha

Kai itihaas ko ek saath dohraati hai deewali
Mohabbat par vijay ke phool barsaati hai deewali

Kai itihaas ko ek saath dohraati hai deewali
Mohabbat par vijay ke phool barsaati hai deewali

Gale mein haar phoolon ka charan mein deep-maalaayein
Mukut sar par hai mukh par zindagi ki roop rekhaayein

Liye hain kar mein mangal-ghat ne kyun ghat ghat pe chhaa jaayein
Agar partav padhhe murda-dilon par wo bhi ji jaayein

Ajab andaaz se reh ke muskaati hai deewali
Mohabbat ki lehar nas nas mein daudhhati hai deewali

Tumhaara hoon tum apni baat mujh se kyun chhupaate ho
Mujhe maalum hai jis ke liye chakkar lagaate ho

Banaras ke ho tum ko chaahiye tyohar ghar karna
Buton ko chhodhh kar tum kyun allahabad jaate ho

Na jaao aise mein baahar ‘Nazeer’ aati hai deewali
Ye kaashi hai yahin to rang dikhlaati hai deewali

Wahi duniya hai lekin husn dekho aaj duniya ka Hai jab tak raat baaqi keh nahin sakte ki faani hai - Nazeer Banarasi
DEEPAVALI SHAYARI IMAGE
Wo kaale kaale gesu surkh hont aur phool se aariz Nagar mein har taraf pariyaan tahalti hain bahaaron ki - Nazeer Banarasi
DEEPAVALI SHAYARI IMAGE

DEEPAVALI SHAYARI IN HINDI

मिरी सांसों को गीत और आत्मा को साज़ देती है
ये दिवाली है सब को जीने का अंदाज़ देती है
हृदय के द्वार पर रह रह के देता है कोई दस्तक
बराबर ज़िंदगी आवाज़ पर आवाज़ देती है

सिमटता है अंधेरा पांव फैलाती है दिवाली
हंसाए जाती है रजनी हँसे जाती है दिवाली

क़तारें देखता हूँ चलते-फिरते माह-पारों की
घटाएँ आँचलों की और बरखा है सितारों की
वो काले काले गेसू सुर्ख़ होंट और फूल से आरिज़
नगर में हर तरफ़ परियाँ टहलती हैं बहारों की

निगाहों का मुक़द्दर आ के चमकाती है दिवाली
पहन कर दीप-माला नाज़ फ़रमाती है दिवाली

उजाले का ज़माना है उजाले की जवानी है
ये हँसती जगमगाती रात सब रातों की रानी है
वही दुनिया है लेकिन हुस्न देखो आज दुनिया का
है जब तक रात बाक़ी कह नहीं सकते कि फ़ानी है

वो जीवन आज की रात आ के बरसाती है दिवाली
पसीना मौत के माथे पे छलकाती है दिवाली

सभी के दीप सुंदर हैं हमारे क्या तुम्हारे क्या
उजाला हर तरफ़ है इस किनारे उस किनारे क्या
गगन की जगमगाहट पड़ गई है आज मद्धम क्यूँ
मुंडेरों और छज्जों पर उतर आए हैं तारे क्या

हज़ारों साल गुज़रे फिर भी जब आती है दिवाली
महल हो चाहे कुटिया सब पे छा जाती है दिवाली

इसी दिन द्रौपदी ने कृष्ण को भाई बनाया था
वचन के देने वाले ने वचन अपना निभाया था
जनम दिन लक्ष्मी का है भला इस दिन का क्या कहना
यही वो दिन है जिस ने राम को राजा बनाया था

कई इतिहास को एक साथ दोहराती है दिवाली
मोहब्बत पर विजय के फूल बरसाती है दिवाली

गले में हार फूलों का चरण में दीप-मालाएँ
मुकुट सर पर है मुख पर ज़िंदगी की रूप-रेखाएँ
लिए हैं कर में मंगल-घट न क्यूँ घट घट पे छा जाएँ
अगर परतव पड़े मुर्दा-दिलों पर वो भी जी जाएँ

तुम्हारा हूँ तुम अपनी बात मुझ से क्यूँ छुपाते हो
मुझे मालूम है जिस के लिए चक्कर लगाते हो
बनारस के हो तुम को चाहिए त्यौहार घर करना
बुतों को छोड़ कर तुम क्यूँ इलाहाबाद जाते हो

न जाओ ऐसे में बाहर ‘नज़ीर’ आती है दिवाली
ये काशी है यहीं तो रंग दिखलाती है दिवाली

नज़ीर बनारसी

Ajab andaaz se reh ke muskaati hai deewali Mohabbat ki lehar nas nas mein daudhhati hai deewali - Nazeer Banarasi
DEEPAVALI SHAYARI IMAGE

DEEPAVALI SHAYARI SOURCE :

Book : Kulliyat-e-Nazeer Banarasi (Pg. 386)
Author : Nazeer Banarsi
Publication: Educational Publishing House (2014)
Edition : 2014

(CLICK HERE TO GET BEST SHAYARI IMAGES ON YOUR INSTAFEED )

Ujaale ka zamaana hai ujaale ki javaani hai Ye hansti jagmagaati raat sab raaton ki raani hai - Nazeer Banarasi
DEEPAVALI SHAYARI IMAGE
liked it? share it

SHAYARI VIDEO OF THE PERIOD

CONNECT NOW

Back to Top
close

Log In

Forgot password?

Forgot password?

Enter your account data and we will send you a link to reset your password.

Your password reset link appears to be invalid or expired.

Log in

Privacy Policy

To use social login you have to agree with the storage and handling of your data by this website. %privacy_policy%

Add to Collection

No Collections

Here you'll find all collections you've created before.