APNE SAB YAAR KAAM KAR RAHE HAIN
– JAUN ELIYA
In this time of the pandemic Corona, “Apne Sab Yaar Kaam Kar Rahe Hain” turns out to be a corona shayari where some people are working from home and others are just not doing anything. Regardless of the situation, this famous ghazal by famous and unique shayar Jaun Eliya is work to relish. Let’s relish, and also share it with other shayari lovers.

“Apne sab Yaar kaam kar rahe hain aur hum hain ki Naam kar rahe hain”
-Jaun Eliya

“Tegh-baazi ka Shauq apni jagah; Aap to Qatl-e-Aam kar rahe hain”
-Jaun Eliya

“Daad-o-tahsin ka ye shor hai kyun hum to Khud se kalaam kar rahe hain”
-Jaun Eliya

“Hum hai masroof-e-intizaam magar jaane kya intizaam kar rahe hain “
-Jaun Eliya

” Hai wo bechaargi ka haal ki hum, har kisi ko Salaam kar rahe hain”
-Jaun Eliya

“Ek Qattala chahiye hum ko hum ye Ealan-e-aam kar rahe hain”
-Jaun Eliya

“Kya bhalaa saaghar-e-sifaal ki hum Naaf-pyaale ko jaam kar rahe hain”
-Jaun Eliya

“Hum to aae the Arz-e-matlab ko aur wo Ehtiram kar rahe hain”
-Jaun Eliya

“Na uthhe Aah ka dhuaan bhi ki wo ku-e-Dil mein Khiraam kar rahe hain”
-Jaun Eliya

“Us ke hontthon pe rakh ke honthh apne baat hi hum tamaam kar rahe hain”
-Jaun Eliya

“Hum ajab hain ki us ke kooche mein be-sabab dhoom-dhaam kar rahe hain”
-Jaun Eliya
APNE SAB YAAR KAAM KAR RAHE HAIN IN HINDI
अपने सब यार काम कर रहे हैं
और हम हैं कि नाम कर रहे हैं
तेग़-बाज़ी का शौक़ अपनी जगह
आप तो क़त्ल-ए-आम कर रहे हैं
दाद-ओ-तहसीन का ये शोर है क्यूँ
हम तो ख़ुद से कलाम कर रहे हैं
हम हैं मसरूफ़-ए-इंतिज़ाम मगर
जाने क्या इंतिज़ाम कर रहे हैं
है वो बेचारगी का हाल कि हम
हर किसी को सलाम कर रहे हैं
एक क़त्ताला चाहिए हम को
हम ये एलान-ए-आम कर रहे हैं
क्या भला साग़र-ए-सिफ़ाल कि हम
नाफ़-प्याले को जाम कर रहे हैं
हम तो आए थे अर्ज़-ए-मतलब को
और वो एहतिराम कर रहे हैं
न उठे आह का धुआँ भी कि वो
कू-ए-दिल में ख़िराम कर रहे हैं
उस के होंटों पे रख के होंट अपने
बात ही हम तमाम कर रहे हैं
हम अजब हैं कि उस के कूचे में
बे-सबब धूम-धाम कर रहे हैं