YE MERE SHEHER KA EK AUR HAADSA HOGA
SHAYAR : AABID ADEEB

YE MERE SHEHER KA EK AUR HAADSA HOGA – AABID ADEEB (GHAZAL) IN ENGLISH
ye mere shaher ka ek aur haadisa hoga wo kal yahaan mera mehmaan ban chuka hoga talaash mein hun kisi ki main kab se sargardan usi taraah koi mujh ko bhi DhunDhta hoga meri taraah se koi chiKHta hai raahon mein meri tarah koi duniya ko dekhta hoga lagaa ke aaega chehra koi naya shab mein wo jis ko baiTh ke din mein tarashta hoga shanaasa chehre bhi lagne lage hain begaane ab apna waqt hi shaayad badal raha hoga udaas udaas sa khoya hua sa rehta hai kuchh us se bhi koi kah kar badal gaya hoga thakaa thakaa sa usi dar pe aa ke baiTha tha na puchha hoga kisi ne to chal diya hoga jahaan pahunch ke qadam Dagmagae hain sab ke usi maqaam se ab apna rasta hog
YE MERE SHEHER KA EK AUR HAADSA HOGA – AABID ADEEB (GHAZAL) IN HINDI
ये मेरे शहर का इक और हादिसा होगा वो कल यहाँ मिरा मेहमान बन चुका होगा तलाश में हूँ किसी की मैं कब से सरगर्दां उसी तरह कोई मुझ को भी ढूँढता होगा मिरी तरह से कोई चीख़ता है राहों में मिरी तरह कोई दुनिया को देखता होगा लगा के आएगा चेहरा कोई नया शब में वो जिस को बैठ के दिन में तराशता होगा शनासा चेहरे भी लगने लगे हैं बेगाने अब अपना वक़्त ही शायद बदल रहा होगा उदास उदास सा खोया हुआ सा रहता है कुछ उस से भी कोई कह कर बदल गया होगा थका थका सा उसी दर पे आ के बैठा था न पूछा होगा किसी ने तो चल दिया होगा जहाँ पहुँच के क़दम डगमगाए हैं सब के उसी मक़ाम से अब अपना रास्ता होगा