Pasand Shayari – Masala-e-Pasand Nazm by Karzdaar Mayank

Masala-e-Pasand

Explore the thought-provoking Pasand Shayari – Masala-e-Pasand Nazm by Karzdaar Mayank, as he delves into the intricacies of life and the complexities of human emotions. His poetry uncovers unspoken desires, the enigmatic nature of love, and the profound beauty of human connections. Join him on a journey through the nuanced and heartfelt aspects of existence.

मसला-ए-पसंद हिन्दी में

यूं तो एसा भी लगता है कभी
सारे के सारे अजब हैं सभी

कहने को सब से मन ऊभ जाता है
अपने साथ पूरी ज़िन्दगी बिताता है

खैर मुद्दा ज़माना रहा ही नहीं
और असल मुद्दा कभी कहा ही नहीं

मुद्दा है पसंद हो बयां नहीं की गई
मुद्दा है कफ़न जो ज़िन्दगी ये जी गई

और फिर ये दास्तां किसकी दास्तां नहीं
वो अनबुझी सी प्यास किस की प्यास नहीं

कोई ज़्यादा देर सुहाता नहीं है
कोई दिल से दूर जाता नहीं है

आखिर वो इतना पसंद है क्यूं आता है
और फिर आता है तो वो ही क्यूं आता है

मसला सारा पसंद पर आया है
जो पसंद आया है, वो पसंद आया है

या तो अब उसे खुलकर कहने की ठान लिया जाए
या में उसकी हसरत ही नहीं ये मान लिया जाए

अबकी जब उसे मेरी आरज़ू ही नहीं
उसकी आरज़ू करते जाना ज़िंदगी नहीं

फिर ये बात समझ आती होती तो क्या न होता
शायद ‘ कर्ज़दार ‘ दिल ना होता, तू ना होता

Masala-e-Pasand In English

Yun To Aesa Bhi Lagta Hai Kabhi
Saare Ke Saare Ajab Hain Sabhi

Kehne Ko Sab Se Man Ubh Jaata Hai
Apne Saath Poori Zindagi Bitaata Hai

Khair Mudda Zamaana Raha Hi Nahin
Aur Asal Mudda Kabhi Kahaa Hi Nahin

Mudda Hai Pasand Jo Bayaan Nahin Ki Gayi
Mudda Hai Kafan Jo Zindagi Ye Jee Gayi

Aur Phir Ye Daastaan Kis Ki Daastaan Nahin
Wo Unbujhi Si Pyaas Kis Ki Pyaas Nahin

Koi Zyada Der Suhaata Nahin Hai
Koi Dil Se Door Jaata Nahin Hai

Aakhir Wo Itna Pasand Hi Kyun Aata Hai
Aur Phir Aata Hai To Wo Hi Kyun Aata Hai

Masalaa Saara Pasand Par Aaya Hai
Jo Pasand Aaya Hai Wo Pasand Aaya Hai

Ya To Ab Use Khulkar Kehne Ki Thhaan Liya Jaaye
Ya Main Uski Hasrat Hi Nahin Ye Maan Liya Jaaye

Ab Ke Jab Use Meri Aarzoo Hi Nahin.
Uski Aarzoo Karte Jaana Zindagi Nahin

Phir Ye Baat Samajh Aati Hoti To Kya Na Hota
Shayad ‘Karzdaar’ Dil Na Hota, Tu Na Hota
Share It

Follow on Instagram

CLICK HERE TO GET THE BEST SHAYARI IMAGES ON YOUR INSTAFEED

You May Also Like