Search
Close this search box.

Love and War : Mujhse Pehli Si Mohabbat Nazm by Faiz Ahmed Faiz

Mujhse Pehli Si Mohabbat Nazm

Delve into the heartrending narrative behind Mujhse Pehli Si Mohabbat nazm by Faiz Ahmed Faiz, which serves as a moving tribute to love, tragic circumstances. This narrative unfolds a heart-wrenching story of two lovers ensnared in the grip of unfortunate circumstances and profound despair. Astonishingly, in the contemporary era, countless individuals within and beyond our nation continue to endure the harrowing ordeal of honor killings, perpetuated in the name of caste, creed, race, and religion. This serves as a solemn homage to these individuals.

मुझसे पहली सी मोहब्बत नज़्म हिन्दी में

मुझसे पहली सी मोहब्बत मेरे मेहबूब ना मांग

मैंने समझा के तू है तो दरख़्शाँ है हयात
तेरा ग़म है तो ग़म-ए-दहर का झगड़ा क्या है
तेरी सूरत से है आलम में बहारों को सबात
तेरी आँखों के सिवा दुनिया में रखा क्या है

तू जो मिल जाए तो तक़दीर निगूं हो जाये
यूँ ना था मैंने फ़क़त चाहा था यूँ हो जाये

और भी दुःख हैं ज़माने में मोहब्बत के सिवा
राहतें और भी हैं वस्ल की राहत के सिवा

अनगिनत सदियों के तारीक बहिमाना तिलिस्म
रेशम ओ अतलस ओ किम- ख़ाब में बुुंवाए हुए
जा-ब-जा बिकते हुए कूचे-ओ-बाज़ार में जिस्म
ख़ाक में लुथड़े हुए खून में नहलाये हुए

जिस्म निकले हुए अमराज़ के तनूरों से
पीप बहती हुई गलते हुए नासूरों से
लौट जाती है उधर को भी नज़र क्या कीजे
अब भी दिलकश है तेरा हुस्न मगर क्या कीजे

और भी दुःख हैं ज़माने में मोहब्बत के सिवा
राहतें और भी हैं वस्ल की राहत के सिवा
मुझसे पहली सी मोहब्बत
मेरे मेहबूब..
ना मांग

Mujhse Pehli Si Mohabbat Nazm In English

Mujhse Pehli Si Mohabbat Mere Mehboob Na Maang

Maine Samjha Ke Tu Hai To Darakhshaan Hai Hayaat
Tera Gham Hai To Gham-E-Dahar Ka Jhagda Kya Hai
Teri Soorat Se Hai Aalam Mein Bahaaron Ko Sabaat
Teri Aankhon Ke Siwa Duniya Mein Rakha Kya Hai

Tu Jo Mil Jaaye To Taqdeer Nigoon Ho Jaaye
Yun Na Tha Maine Faqat Chaha Tha Yun Ho Jaaye

Aur Bhi Dukh Hain Zamaane Mein Mohabbat Ke Siwa
Raahatein Aur Bhi Hain Vasl Ki Raahat Ke Siwa

Angeenat Sadiyon Ke Taareek Bahimaana Tilism
Resham O Atlas O Kim-Khaab Mein Bunwaye Hue
Jaa-Ba-Jaa Bikte Hue Kooche-O-Bazaar Mein Jism
Khaak Mein Luthade Hue Khoon Mein Nahlaaye Hue

Jism Nikle Hue Amraaz Ke Tanuuron Se
Peep Bahti Hui Galte Hue Naasuron Se
Laut Jaati Hai Udhar Ko Bhi Nazar Kya Kiye
Ab Bhi Dilkash Hai Tera Husn Magar Kya Kiye

Aur Bhi Dukh Hain Zamaane Mein Mohabbat Ke Siwa
Raahatein Aur Bhi Hain Vasl Ki Raahat Ke Siwa
Mujhse Pehli Si Mohabbat
Mere Mehboob…
Na Maang
Share It

Follow on Instagram

CLICK HERE TO GET THE BEST SHAYARI IMAGES ON YOUR INSTAFEED

You May Also Like