Aur phir Krishna ne Arjun se kaha,
Na koi bhai, na beta, na bhatija, na guru.
Ek hi shakl ubharti hai har aaine mein,
Aatma marti nahi, jism badal leti hai,
Dhadkan is seene ki ja chhupti hai us seene mein.
Jism lete hain janam, jism fana hote hain,
Aur jo ek roz fana hoga, wo paida hoga,
Ek kadi tutti hai, doosri ban jaati hai,
Khatm ye silsila-e-zindagi phir kya hoga.
Rishte sau, jazbe bhi sau, chehre bhi sau hote hain,
Farz sau chehron mein shakl apni hi pehchan’ta hai,
Wahi mahboob, wahi dost, wahi ek aziz,
Dil jise ishq, aur idraak amal maanta hai.
Zindagi sirf amal, sirf amal, sirf amal,
Aur ye bedard amal sulah bhi hai, jang bhi hai,
Amn ki mohini tasveer mein hain jitne rang,
Unhi rangon mein chhupa khoon ka ek rang bhi hai.
Khauf ke roop kayi hote hain, andaaz kayi,
Pyaar samjha hai jise, khauf hai wo pyaar nahi,
Unghliyan aur gada, aur jakad, aur jakad,
Aaj mahboob ka baazu hai ye talwar nahi.
Jang rahmat hai ki laanat, ye sawaal ab na uthe,
Jang ab aa hi gayi sar pe to rahmat hogi,
Door se dekh na bhadke huye sholon ka jalaal,
Isi dozakh ke kisi kone mein jannat hogi.
Zakhm kha, zakhm laga, zakhm hai kis ginti mein,
Farz zakhmon ko bhi chun leta hai phoolon ki tarah,
Na koi ranj, na raahat, na silay ki parwa,
Paak har gard se rakh dil ko rasoolon ki tarah.
Ye padosi jo mohabbat ka chalan bhool gaye,
Inme bhai bhi hain, bete bhi hain, ahbaab bhi hain,
Jaante hain ye sabhi kuch nahi hatiyaar magar,
Hamse lad marne ko taiyaar bhi, betab bhi hain.
Hamne chaha tha rahein saath dil-o-jaan ki tarah,
Wo magar isko siyaasat hi siyaasat samjhe,
Hamne chaha tha alag ho ke bhi nazdeek rahein,
Wo magar isko koi taaza sharaarat samjhe.
Hamne chaha tha ladai na chhade, jang na ho,
Wo samajh baithe ki kamzor hain, laachaar hain ham,
Hamne chaha tha mohabbat se chuka lein jhagde,
Wo samajh baithe ki muflooz hain, bekaar hain ham.
Kitna tareek samajh, kitna giraan-zameer,
Ki jagaana koi chahe to jagaaye na bane,
Aslahe sir pe uthaaye huye yon phirte hain,
Koi pooche ki kya hai to chhupaaye na bane.
Ham ahinsa ke pujaari sahi, deewane sahi,
Jang hoti hai fakt jang ke elaan ke baad,
Haath bhi unse milen, dil bhi milen, nazarain bhi,
Ab ye armaan hai sab fatah ke armaan ke baad.
Saathiyo! Dosto! Ham aaj ke Arjun hi to hain,
Hamse bhi Krishna yahi kehte hain…!