Ae Sharif Insano – Sahir Ludhianvi’s Nazm against “Jang”

Ae Sharif Insano (Jang)

Ae Sharif Insano – Sahir Ludhianvi’s Nazm against “Jang” |

SOURCE :
Book : Kulliyat-E-Sahir Ludhianvi (Pg. 210)
Author : SAHIR LUDHIANVI
Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd |

Sahir Ludhianvi’s nazm is a heartfelt reflection on the futility of war. It urges us to reconsider our choices and opt for peace instead. Ludhianvi questions why we shed blood when we could be working together to build a better world. In essence, it’s a poignant call for a more peaceful and harmonious existence.

ऐ शरीफ़ इंसानों (जंग) हिन्दी में

ख़ून अपना हो या पराया हो
नस्ल-ए-आदम का ख़ून है आख़िर
जंग मशरिक़ में हो कि मग़्रिब़ में
अमन-ए-आलम का ख़ून है आख़िर

बम घरों पर गिरें कि सरहद पर
रूह-ए-तामिर ज़ख़्म ख़ाती है
खेत अपने जलें कि औरों के
ज़िस्त फ़ाक़ों से तिलमिलाती है

टैंक आगे बढ़ें कि पीछे हटें
कोक धरती की बाँझ होती है
फ़तेह का जश्न हो कि हार का सोग
ज़िंदगी मैय्यतों पे रोती है

जंग तो ख़ुद ही एक मसला है
जंग क्या मसालों का हल देगी
आग और ख़ून आज बाँटेगी
भूख और एहतियाज़ कल देगी

इस लिए ऐ शरीफ़ इंसानों
जंग तलती रहे तो बेहतर है
आप और हम सभी के आँगन में
शम्मा जलती रहे तो बेहतर है

2

बर्तरी के सबूत की ख़ातिर
ख़ून बहाना ही क्या ज़रूरी है
घर की तरीक़ियाँ मिटाने को
घर जलाना ही क्या ज़रूरी है

जंग के और भी तो मैदान हैं
सिर्फ़ मैदान-ए-किश्त-ओ-ख़ून ही नहीं
हासिल-ए-ज़िंदगी ख़िराद भी है
हासिल-ए-ज़िंदगी जुनून ही नहीं

आओ इस तिरा-बख़्त दुनिया में
फ़िक्र की रौशनी को आम करें
अमन को जिन से तफ़वीज़ पहुँचे
ऐसी जंगों का इहतिमाम करें

जंग वहशत से बर्बारियत से
अमन तहज़ीब ओ इर्तिक़ा के लिए
जंग मर्ग-आफ़रीन सियासत से
अमन इंसान की बाक़ा के लिए

जंग इफ़्लास और ग़ुलामी से
अमन बेहतर निज़ाम की ख़ातिर
जंग बहत्की हुई क़यादत से
अमन बेबस आवाम की ख़ातिर

जंग सरमाए के तसल्लुत से
अमन जमहूर की ख़ुशी के लिए
जंग जंगों के फ़लसफ़े के ख़िलाफ़
अमन पुर-अमन जिंदगी के लिए

Ae Sharif Insano (Jang) In English

Khoon apna ho ya paraya ho
Nasl-e-aadam ka khoon hai aakhir
Jang mashriq mein ho ki maghrib mein
Amn-e-aalam ka khoon hai aakhir

Bam gharon par giren ki sarhad par
Ruh-e-taamir zakhm khhati hai
Khet apne jalein ki auron ke
Zist phaaqon se tilmilati hai

Tank aage badhein ki pichhe haten
Kokh dharti ki baanjh hoti hai
Fateh ka jashn ho ki haar ka sog
Zindagi mayyaton pe roti hai

Jang to khud hi ek masala hai
Jang kya masaalon ka hal degi
Aag aur khoon aaj baakhshengi
Bhuk aur ehtiyaaz kal degi

Is liye ai sharif insaanon
Jang talati rahe to behtar hai
Aap aur hum sabhi ke aangan mein
Shamma jalati rahe to behtar hai

2

Bartari ke saboot ki khaatir
Khoon bahaana hi kya zaroori hai
Ghar ki tarikiyaan mitaane ko
Ghar jalana hi kya zaroori hai

Jang ke aur bhi to maidan hain
Sirf maidan-e-kisht-o-khoon hi nahin
Haasil-e-zindagi khirad bhi hai
Haasil-e-zindagi junoon hi nahin

Aao is tira-bakht duniya mein
Fikr ki raushni ko aam karein
Amn ko jin se taqwiyat pahunchen
Aisi jangon ka ihtimaam karein

Jang wahshat se barbariyat se
Amn tahzib o irtiqaa ke liye
Jang marg-afrin siyaasat se
Amn insaan ki baqaa ke liye

Jang iflaas aur ghulaami se
Amn behtar nizaam ki khatir
Jang bhatki hui qayaadat se
Amn be-bas aawaam ki khatir

Jang sarmaae ke tasallut se
Amn jamhoor ki khushi ke liye
Jang jangon ke falsafe ke khilaaf
Amn pur-amn zindagi ke liye
Share It

Follow on Instagram

CLICK HERE TO GET THE BEST SHAYARI IMAGES ON YOUR INSTAFEED

You May Also Like