Yeh Gham Kya Dil Ki Aadat Hai? – Jaun Elia’s Poignant Shayari

Yeh Gham Kya Dil Ki Aadat Hai?

Explore Jaun Elia’s heartfelt Shayari that delves into the depths of love and longing. This ghazal, ‘Yeh Gham Kya Dil Ki Aadat Hai?’ reflects on the complexities of human emotions, offering profound insights.

यह गम क्या दिल की आदत है? हिन्दी में

यह गम क्या दिल की आदत है? नहीं तो
किसी से कुछ शिकायत है? नहीं तो

है वो इक ख्वाब-ए-बे ताबीर इसको
भुला देने की नीयत है? नहीं तो

किसी के बिन किसी की याद के बिन
जिए जाने की हिम्मत है ? नहीं तो

तुझे जिसने कहीं का भी ना रखा
वो एक ज़ाती सी वेहशत है? नहीं तो

किसी सूरत भी दिल लगता नहीं? हाँ
तू कुछ दिन से यह हालत हैं? नहीं तो

तेरे इस हाल पर हैं सब को हैरत
तुझे भी इस पर हैरत है? नहीं तो

हम-आहंगी नहीं दुनिया से तेरी
तुझे इस पर नदामत है? नहीं तो

वो दरवेशी जो तज कर आ गया…..तू
यह दौलत उस की क़ीमत है? नहीं तो

अज़ीयत नाक उम्मीदों से तुझको
अमन पाने की हसरत है? नहीं तो

हुआ जो कुछ यही मक़्सूम था क्या
यही सारी हकायत है ? नहीं तो

तू रहता है ख़्वाब ओ ख़्याल में गुम
तो इस वजह से फुर्सत है? नहीं तो

वहां वालों से है इतनी मोहब्बत
यहां वालों से नफ़रत है? नहीं तो

सबब जो इस जुदाई का बना है
वो मुझसे खूबसूरत है? नहीं तो

Yeh Gham Kya Dil Ki Aadat Hai? In English

Yeh Gham Kya Dil Ki Aadat Hai? Nahin To
Kisi Se Kuch Shikaayat Hai? Nahin To

Hai Woh Ek Khwaab-E-Be-Taabeer Isko
Bhula Dene Ki Neeyat Hai? Nahin To

Kisi Ke Bin, Kisi Ki Yaad Ke Bin
Jiye Jaane Ki Himmat Hai? Nahin To

Kisi Soorat Bhi Dil Lagta Nahin? Haan
To Kuch Din Se Yeh Haalat Hai? Nahin To

Tujhe Jisne Kahin Ka Bhi Na Rakha
Woh Ek Zaati Si Wehshat Hai? Nahin To

Tere Is Haal Par Hai Sab Ko Hairat
Tujhe Bhi Is Pe Hairat Hai? Nahin To

Hum-Aahangi Nahin Duniya Se Teri
Tujhe Is Par Nadaamat Hai? Nahin To

Wo Darweshi Jo Taz Kar Aa Gya….Tu
Yah Daulat Uski Keemat Hai? Nahin To

Hua Jo Kuch Yehi Maqsoom Tha Kya?
Yahi Saari Hikaayat Hai? Nahin To

Azeeyat-Naak Ummeedon Se Tujhko
Aman Paane Ki Hasrat Hai? Nahin To

Tu Rehta Hai Khayaal-O-Khwaab Mein Gum
To Is Wajah Se Fursat Hai? Nahin To

Wahan Waalon Se Hai Itni Mohabbat
Yahaan Waalon Se Nafrat Hai? Nahin To

Sabab Jo Is Judaai Ka Bana Hai
Wo Mujh Se Khubsoorat Hai? Nahin To.
Share It

Follow on Instagram

CLICK HERE TO GET THE BEST SHAYARI IMAGES ON YOUR INSTAFEED

You May Also Like