Ye Mere Sheher Ka Ek Aur Haadasa Hoga – Aabid Adeeb’s Ghazal

Ye Mere Sheher Ka Ek Aur Haadasa Hoga

Ye Mere Sheher Ka Ek Aur Haadasa Hoga – Aabid Adeeb’s Ghazal – Explore the poignant verses of Aabid Adeeb’s ghazal “Shehar Ka Haadisa,” where the poet reflects on the changing dynamics of his city and the search for one’s identity and place in it.

ये मेरे शहर का इक और हादिसा होगा हिन्दी में

ये मेरे शहर का इक और हादिसा होगा
वो कल यहाँ मिरा मेहमान बन चुका होगा

तलाश में हूँ किसी की मैं कब से सरगर्दां
उसी तरह कोई मुझ को भी ढूँढता होगा

मिरी तरह से कोई चीख़ता है राहों में
मिरी तरह कोई दुनिया को देखता होगा

लगा के आएगा चेहरा कोई नया शब में
वो जिस को बैठ के दिन में तराशता होगा

शनासा चेहरे भी लगने लगे हैं बेगाने
अब अपना वक़्त ही शायद बदल रहा होगा

उदास उदास सा खोया हुआ सा रहता है
कुछ उस से भी कोई कह कर बदल गया होगा

थका थका सा उसी दर पे आ के बैठा था
न पूछा होगा किसी ने तो चल दिया होगा

जहाँ पहुँच के क़दम डगमगाए हैं सब के
उसी मक़ाम से अब अपना रास्ता होगा

Ye Mere Sheher Ka Ek Aur Haadasa Hoga In English

Ye Mere Sheher Ka Ek Aur Haadasa Hoga,
Wo kal yahaan mera mehmaan ban chuka hoga.

Talaash mein hoon kisi ki kab se sargardaan,
Usi tarah koi mujhko bhi dhoondhta hoga.

Meri tarah se koi cheekhta hai raahon mein,
Meri tarah koi duniya ko dekhta hoga.

Laga ke aayega chehra koi naya shab mein,
Wo jisko baith ke din mein taraashta hoga.

Shanaasa chehre bhi lagne lage hain begaane,
Ab apna waqt hi shaayad badal raha hoga.

Udaas udaas sa khoya hua sa rahta hai,
Kuch usse bhi koi keh kar badal gaya hoga.

Thaka thaka sa usi dar pe aa ke baitha tha,
Na poocha hoga kisi ne to chal diya hoga.

Jahaan pahunch ke qadam dagmagaye hain sab ke,
Usi makaam se ab apna raasta hoga.
Share It

Follow on Instagram

CLICK HERE TO GET THE BEST SHAYARI IMAGES ON YOUR INSTAFEED

You May Also Like