Umr Guzregi Imtihan Mein Kya Ghazal by Jaun Elia

Umr Guzregi Imtihan Mein Kya

Umr Guzregi Imtihan Mein Kya Ghazal by Jaun Elia – Explore the profound verses of Jaun Elia in his ghazal “Umr Guzregi Imtihan Mein Kya” as he contemplates the trials of life, the weight of unspoken words, and the mysteries of existence. Each couplet offers a glimpse into the Jaun Elia’s introspective world, inviting readers to reflect on the complexities of human emotions and the passage of time.

उम्र गुज़रेगी इम्तिहान में क्या हिन्दी में

उम्र गुज़रेगी इम्तिहान में क्या
दाग़ ही देंगे मुझ को दान में क्या

मेरी हर बात बे-असर ही रही
नक़्स है कुछ मिरे बयान में क्या

मुझ को तो कोई टोकता भी नहीं
यही होता है ख़ानदान में क्या

अपनी महरूमियाँ छुपाते हैं
हम ग़रीबों की आन-बान में क्या

ख़ुद को जाना जुदा ज़माने से
आ गया था मिरे गुमान में क्या

शाम ही से दुकान-ए-दीद है बंद
नहीं नुक़सान तक दुकान में क्या

ऐ मिरे सुब्ह-ओ-शाम-ए-दिल की शफ़क़
तू नहाती है अब भी बान में क्या

बोलते क्यूँ नहीं मिरे हक़ में
आबले पड़ गए ज़बान में क्या

ख़ामुशी कह रही है कान में क्या
आ रहा है मिरे गुमान में क्या

दिल कि आते हैं जिस को ध्यान बहुत
ख़ुद भी आता है अपने ध्यान में क्या

वो मिले तो ये पूछना है मुझे
अब भी हूँ मैं तिरी अमान में क्या

यूँ जो तकता है आसमान को तू
कोई रहता है आसमान में क्या

है नसीम-ए-बहार गर्द-आलूद
ख़ाक उड़ती है उस मकान में क्या

ये मुझे चैन क्यूँ नहीं पड़ता
एक ही शख़्स था जहान में क्या

Umr Guzregi Imtihan Mein Kya In English

Umr Guzregi Imtihan Mein Kya
Daagh Hi Denge Mujh Ko Daan Mein Kya

Meri Har Baat Be-Asar Hi Rahi
Naqs Hai Kuchh Mere Bayaan Mein Kya

Mujh Ko To Koi Tokta Bhi Nahin
Yahi Hota Hai Khaandan Mein Kya

Apni Mahrumiyan Chhupaate Hain
Hum Gharibon Ki Aan-Baan Mein Kya

Khud Ko Jaana Judaa Zamaane Se
Aa Gayaa Tha Mere Gumaan Mein Kya

Shaam Hi Se Dukaan-E-Deed Hai Band
Nahin Nuqsaan Tak Dukaan Mein Kya

Ai Mere Subh-O-Shaam-E-Dil Ki Shafaq
Tu Nahaati Hai Ab Bhi Baan Mein Kya

Bolte Kyun Nahin Mere Haq Mein
Aable Padhh Gaye Zabaan Mein Kya

Khamoshi Keh Rahi Hai Kaan Mein Kya
Aa Raha Hai Mere Gumaan Mein Kya

Dil Ki Aate Hain Jis Ko Dhyaan Bahut
Khud Bhi Aata Hai Apne Dhyaan Mein Kya

Wo Mile To Ye Puchhna Hai Mujhe
Ab Bhi Hun Main Teri Amaan Mein Kya

Yun Jo Takta Hai Aasmaan Ko Tu
Koi Rahta Hai Aasmaan Mein Kya

Hai Nasim-E-Bahaar Gard-Alud
KHak Udhhti Hai Us Makaan Mein Kya

Ye Mujhe Chain Kyun Nahin PaDta
Ek Hi Shakhs Tha Jahaan Mein Kya
Share It

Follow on Instagram

CLICK HERE TO GET THE BEST SHAYARI IMAGES ON YOUR INSTAFEED

You May Also Like