Love and Ego Shayari – Zaroori To Nahin by Karzdaar Mayank

Zaroori To Nahin

Love and Ego Shayari – Zaroori To Nahin by Karzdaar Mayank – Explore the profound world of emotions through Karzdaar Mayank’s poignant shayari, ‘Zaroori To Nahin?’ These verses delve deep into the human experience of love, ego, and hesitation. It captures that moment of uncertainty when two hearts are entangled in a web of unspoken feelings. Karzdaar beautifully portrays the dilemma of confessing one’s emotions, where ego and love clash, leaving both parties waiting for a resolution. As he questions societal norms and expectations, Karzdaar sparks a thought-provoking conversation about the complexities of human relationships and self-discovery.

ज़रूरी तो नहीं हिन्दी में

जब मिलूं खुदी में मिलूं, ज़रूरी तो नहीं
इंतेज़ार करना और करते जाना, ज़रूरी तो नहीं

ना मैं झुकता हूँ ना तुम ही किस बात की अना है
हर रोज़, हर वक़्त मरते रहना, ज़रूरी तो नहीं

गर से मैं ही पहल कर दूं मंजूर तो होगा,
लाज़्मी तुम्हारा शरीक होना, ज़रूरी तो नहीं

कमाल करते हो रोके रोके दम नहीं घुटता
घुटने पर भी उनका क़ुबूल करना, ज़रूरी तो नहीं

हम कह रहे हैं शेर पे शेर इशारा देते हुए
हमारा कहना उन का समझ जाना, ज़रूरी तो नहीं

लो सौदे की बात कर लें, मेरे दाम पर मुझे खरीद लें
बाज़ार में हर चीज़ का बिक जाना, ज़रूरी तो नहीं

अब क्या करें रस्म-ए-दुनिया में आदमी ही झुका!
फिर ‘कर्ज़दार’ आदमी का झुक जाना, ज़रूरी तो नहीं

Zaroori To Nahin In English

Jab Miloon Khudi Mein Miloon, Zaroori To Nahin
Intezaar Karna Aur Karte Jaana Zaroori To Nahin

Na Main Jhukta Hoon Na Tum Hi Kis Baat Ki Anaa Hai
Har Roz, Har Waqt Marte Rehna, Zaroori To Nahin

Gar Se Main Hi Pehel Kar Doon Manzoor To Hoga,
Laazmi Tumhaara Shareeq Hona Zaroori To Nahin

Kamaal Karte Ho Roke Roke Dum Nahin Ghut Ta
Ghutne Par Bhi Unka Qubool Karna Zaroori To Nahin

Hum Keh Rahe Hain Sher Pe Sher Ishaara Dete Huye
Hamaara Kehna Un Ka Samajh Jaana Zaroori To Nahin

Lo Saude Ki Baat Kar Lein, Mere Daam Par Mujhe Khareed Lein
Baazar Main Har Cheez Ka Biq Jaana Zaroori To Nahin

Ab Kya Karein Rasm-E-Duniya Main Aadmi Hi Jhuka!
Phir ‘Karzdaar’ Aadmi Ka Jhuk Jaana Zaroori To Nahin
Share It

Follow on Instagram

CLICK HERE TO GET THE BEST SHAYARI IMAGES ON YOUR INSTAFEED

You May Also Like