Zafar Iqbal’s Famous Ghazal – Khamoshi Achchhi Nahin

Khamoshi Achchhi Nahin Inkaar Hona Chaahiye

Explore the thought-provoking verses of Zafar Iqbal’s Famous Ghazal – Khamoshi Achchhi Nahin, where poetry becomes a canvas for reflection on life’s intricacies. His words unravel the importance of expression over silence, the symbolism in dreams, and the transformation of love and relationships. Join him on a journey of profound introspection and poetic beauty.

ख़ामुशी अच्छी नहीं इंकार होना चाहिए हिन्दी में

ख़ामुशी अच्छी नहीं इंकार होना चाहिए
ये तमाशा अब सर-ए-बाज़ार होना चाहिए

ख़्वाब की ताबीर पर इसरार है जिन को अभी
पहले उन को ख़्वाब से बेदार होना चाहिए

डूब कर मरना भी उसलूब-ए-मोहब्बत हो तो हो
वो जो दरिया है तो उस को पार होना चाहिए

अब वही करने लगे दीदार से आगे की बात
जो कभी कहते थे बस दीदार होना चाहिए

बात पूरी है अधूरी चाहिए ऐ जान-ए-जाँ
काम आसाँ है इसे दुश्वार होना चाहिए

दोस्ती के नाम पर कीजे न क्यूँकर दुश्मनी
कुछ न कुछ आख़िर तरीक़-ए-कार होना चाहिए

झूट बोला है तो क़ाएम भी रहो उस पर ‘ज़फ़र’
आदमी को साहब-ए-किरदार होना चाहिए

Khamoshi Achchhi Nahin Inkaar Hona Chaahiye In English

Khamoshi Achchhi Nahin Inkaar Hona Chaahiye
Ye Tamaasha Ab Sar-E-Baazaar Hona Chaahiye

KHwaab Ki Taabir Par Israar Hai Jin Ko Abhi
Pahle Un Ko KHwaab Se Bedaar Hona Chaahiye

Dub Kar Marna Bhi Uslub-E-Mohabbat Ho To Ho
Wo Jo Dariya Hai To Us Ko Paar Hona Chaahiye

Ab Wahi Karne Lage Didaar Se Aage Ki Baat
Jo Kabhi Kahte The Bas Didaar Hona Chaahiye

Baat Puri Hai Adhuri Chaahiye Ai Jaan-E-Jaan
Kaam Aasan Hai Ise Dushwaar Hona Chaahiye

Dosti Ke Naam Par Kije Na Kyunkar Dushmani
Kuchh Na Kuchh AaKHir Taariq-E-Kar Hona Chaahiye

JhuT Bola Hai To Qaaem Bhi Raho Us Par ‘Zafar’
Aadmi Ko Saahab-E-Kirdaar Hona Chaahiye
Share It

Follow on Instagram

CLICK HERE TO GET THE BEST SHAYARI IMAGES ON YOUR INSTAFEED

You May Also Like