Na Saath Sahi Mera Jhukna Na Ghalati Ghalat Bataata Hoon,
Is Paar Hoon Main Us Paar Ka, Main Har Baat Hi Ghalat Bataata Hoon.
Ye Dard Nahi Uthta Mera Qurban Jawan Jo Hote Hain,
Afzal Ki Faansi Par Lekin Main Sharminda Ho Jaata Hoon.
Lafzon Ki Azaadi Meri Haq Apna Main Bataata Hoon,
Bharat Tere Tukde Honge Phir Jag Mein Main Chillaata Hoon.
Kuch Soch Banaaye Baitha Hoon, Kuch Theek Hai Agar To Soch Meri,
Tu Laakh Sahi Mein Laakh Galat Mein Khud Ko Khub Bataata Hoon.
Jo Desh Pe Jaan Lutaate Hain, Unpe Paththar Barsaata Hoon,
Phir Kami Kahaan Ham-Dardoon Ki, Bhatak Shaahri Kehlata Hoon.
Hai Khub Mera Ye Hindostan Par Mazhab Sab Se Avval Hai,
Phir Khub Jale Ye Desh Mera, Main Qaum Ka Saath Nibhata Hoon.
Chubhte Hain Gar Ye Sher Mere, To Khud Se Pooch Ye Chubhte Kyun,
Jahil Ko Jahil Bola Hai Aur Jahil Hi Bataata Hoon.
Kuch Desh Jalaane Aaye Hain, Jal Jaata Hai To Jalne Do;
Main Naye Waqt Ki Pidhi Hoon Aur Khudgarzi Ka Naata Hoon.
Main Baat Sajaana Na Jaanun Sach Ko Main Sach Bataata Hoon,
Yuhi Sach Keh Kar, Kaayar Se Har Rishta Mein Jhutlaata Hoon.
Hoga Tujhse Rishta Mera, Par Desh Ke Hit Mein Bolunga,
Jo ‘Karzdaar’ Yeh Naam Kiya To Desh Ki Roti Khaata Hoon.