Bashir Badr’s Popular Ghazal Agar Yakeen Nahi Aata

Agar Yakeen Nahi Aata

Delve into the poignant verses of Bashir Badr’s Popular Ghazal Agar Yakeen Nahi Aata as he embarks on a journey of self-exploration and longing through his poetry. His words capture the essence of inner questioning, emotional exhaustion, and the desire for a connection that touches the heart. Allow his verses to take you on a profound poetic exploration.

अगर यक़ीं नहीं आता हिन्दी में

अगर यक़ीं नहीं आता तो आज़माए मुझे
वो आइना है तो फिर आइना दिखाए मुझे

अजब चराग़ हूँ दिन रात जलता रहता हूँ
मैं थक गया हूँ हवा से कहो बुझाए मुझे

मैं जिस की आँख का आँसू था उस ने क़द्र न की
बिखर गया हूँ तो अब रेत से उठाए मुझे

बहुत दिनों से मैं इन पत्थरों में पत्थर हूँ
कोई तो आए ज़रा देर को रुलाये मुझे

मैं चाहता हूँ कि तुम ही मुझे इजाज़त दो
तुम्हारी तरह से कोई गले लगाए मुझे

Agar Yakeen Nahi Aata In English

Agar Yakeen Nahi Aata To Aazmaae Mujhe
Wo Aaina Hai To Phir Aaina Dikhaae Mujhe

Ajab Charaagh Hun Din Raat Jalta Rahta Hun
Main Thak Gayaa Hun Hawaa Se Kaho Bujhaae Mujhe

Main Jis Ki Aankh Ka Aansu Tha Us Ne Qadr Na Ki
Bikhar Gayaa Hun To Ab Ret Se UThaae Mujhe

Bahut Dinon Se Main In Pattharon Mein Patthar Hun
Koi To Aae Zara Der Ko Rulaae Mujhe

Main Chahta Hun Ki Tum Hi Mujhe Ijaazat Do
Tumhaari Tarah Se Koi Gale Lagaae Mujhe
Share It

Follow on Instagram

CLICK HERE TO GET THE BEST SHAYARI IMAGES ON YOUR INSTAFEED

You May Also Like