Har ek kisam qudrat ki par zulm tera jaari hai,
Ab bhaag kahan bhaayega, insaan teri baari hai.
Laazim shayad yeh bhi tha, aukaad teri dikh jaaye,
Takneek ke peeche tha tu, takneek teri haari hai.
Jungle nange kar daale, beghar kitne kar daale,
Sabko nochaa hai tune, bairi qudrat saari hai.
Aurro se behtar kehkar, sab par hi zulm kiya hai,
Tu khak kisi se behtar, tu khud mein beemari hai.
Kis kiska khoon chooka hai, thode se swaad ke peeche,
Teri chalke lagegi tere peeche aari hai.
Haq se poori dharti par, jaahilpan hai dikhlaya,
Ab dekh tu jaahilpan ko! Sab duniya yeh kaari hai.
Beshak karta na sajda, kutta tujhse behtar hai,
Wo rota hai uppar se, Rab ki tu laachari hai.
Tu ‘Karzdaar’ likhta kya, tu bhi in mein hi shaamil,
Teri bhi khud-daari hai har aur maha-maari hai