Search
Close this search box.

Jaun Elia’s Ghazal Ganwai Kis Ki Tamanna Mein Lyrics

Ganwai Kis Ki Tamanna Mein Zindagi Main Ne

Step into the profound world of Jaun Elia’s poetry with ‘Ganwai Kis Ki Tamanna Mein Zindagi Ne’ which is famous for its sher :
“Ilaaj Ye Hai Ki Majboor Kar Diya Jaaun
Wagarna Yun To Kisi Ki Nahin Suni Main Ne”.
In this evocative verse, Jaun Elia reflects on the essence of life and its elusive desires. He explores the yearning for an undefined presence, a desire that remains unfulfilled. Each line of this shayari weaves a complex tapestry of longing, introspection, and the human pursuit of the intangible. Jaun Elia’s words, born from the depths of his soul, resonate with those who seek meaning in the enigmatic journey of life.

गँवाई किस की तमन्ना में ज़िंदगी मैं ने हिन्दी में

गँवाई किस की तमन्ना में ज़िंदगी मैं ने
वो कौन है जिसे देखा नहीं कभी मैं ने

तिरा ख़याल तो है पर तिरा वजूद नहीं
तिरे लिए तो ये महफ़िल सजाई थी मैं ने

तिरे अदम को गवारा न था वजूद मिरा
सो अपनी बेख़-कुनी की कमी न की मैं ने

हैं मेरी ज़ात से मंसूब सद फ़साना-ए-इश्क़
और एक सत्र भी अब तक नहीं लिखी मैं ने

ख़ुद अपने इश्वा-ओ-अंदाज़ का शहीद हूँ मैं
ख़ुद अपनी ज़ात से बरती है बे-रुख़ी मैं ने


मिरे हरीफ़ मिरी यक्का-ताज़ियों पे निसार
तमाम उम्र हलीफ़ों से जंग की मैं ने

ख़राश-ए-नग़्मा से सीना छिला हुआ है मिरा
फ़ुग़ाँ कि तर्क न की नग़्मा-परवरी मैं ने

दवा से फ़ाएदा मक़्सूद था ही कब कि फ़क़त
दवा के शौक़ में सेहत तबाह की मैं ने

ज़बाना-ज़न था जिगर-सोज़ तिश्नगी का अज़ाब
सो जौफ़-ए-सीना में दोज़ख़ उंडेल ली मैं ने

सुरूर-ए-मय पे भी ग़ालिब रहा शुऊ’र मिरा
कि हर रिआयत-ए-ग़म ज़ेहन में रखी मैं ने

ग़म-ए-शुऊर कोई दम तो मुझ को मोहलत दे
तमाम-उम्र जलाया है अपना जी मैं ने

इलाज ये है कि मजबूर कर दिया जाऊँ
वगर्ना यूँ तो किसी की नहीं सुनी मैं ने

रहा मैं शाहिद-ए-तन्हा नशीन-ए-मसनद-ए-ग़म
और अपने कर्ब-ए-अना से ग़रज़ रखी मैं ने

Ganwai Kis Ki Tamanna Mein Zindagi Main Ne In English

Ganwai Kis Ki Tamanna Mein Zindagi Main Ne
Wo Kaun Hai Jise Dekha Nahin Kabhi Main Ne

Tera Khayaal To Hai Par Tera Wajood Nahin
Tere Liye To Ye Mehfil Sajaai Thi Main Ne

Tere Adam Ko Gawaara Na Tha Wajood Mera
So Apni Bekh-Kani Mein Kami Na Ki Main Ne

Hain Meri Zaat Se Mansub Sad-Fasaana-E-Ishq
Aur Ek Satar Bhi Ab Tak Nahin Likhi Main Ne

Khud Apne Ishwa O Andaz Ka Shaheed Hun Main
Khud Apni Zaat Se Barti Hai Be-Rukhi Main Ne

Mere Harif Meri Yakka-Taziyon Pe Nisaar
Tamaam Umr Halifon Se Jung Ki Main Ne

Kharaash-E-Naghma Se Sina Chhila Hua Hai Mera
Fughan Ki Tark Na Ki Naghma-Parwari Main Ne

Dawa Se Faeda Maqsud Tha Hi Kab Ki Faqat
Dawa Ke Shauq Mein Sehat Tabah Ki Main Ne

Zabana-Zan Tha Jigar-Soz Tishnagi Ka Azaab
So Jauf-E-Sina Mein Dozakh Undel Li Main Ne

Surur-E-Mai Pe Bhi Ghaalib Raha Shuur Mera
Ki Har Riayat-E-Gham Zehn Mein Rakhi Main Ne

Gham-E-Shuur Koi Dam To Mujh Ko Mohlat De
Tamam Umr Jalaya Hai Apna Ji Main Ne

Ilaaj Ye Hai Ki Majboor Kar Diya Jaaun
Wagarna Yun To Kisi Ki Nahin Suni Main Ne

Raha Main Shahid-E-Tanha Nashin-E-Masnad-E-Gham
Aur Apne Karb-E-Ana Se Gharaz Rakhi Main Ne
Share It

Follow on Instagram

CLICK HERE TO GET THE BEST SHAYARI IMAGES ON YOUR INSTAFEED

You May Also Like