Majboori Shayari – Wese Sab Aata Hai by Karzdaar Mayank

Wese Sab Aata Hai

Experience this ‘Majboori Shayari’ : Wese Sab Aata Hai by Karzdaar Mayank, where the essence of helplessness is beautifully portrayed, accompanied by an acceptance that it’s ‘okay.’ Karzdaar Mayank’s Shayari, including this one, is known for its simplicity and relatability, making it easy for readers to connect with the emotions within. Immerse yourself in this Ghazal and savor the profound feelings it evokes.

वैसे सब आता है हिन्दी में

दिल में कुछ होता है मुंह पे कुछ आता है
मौत आती है उनके सामने वैसे सब आता है

जब परखा कायनात को हमने तो ये परखा
जो नहीं आना चाहिए वो पसंद आता है

मुश्किल पड़ता है झूठ कहने में लोगों से
सो खुद से झूठ कहने का हुनर आता है

जो महफिलों में मेरा नाम भूल जाता है अक्सर
लानत है की उससे प्यार का ऐतबार आता है

मुद्दा फिर ये है की उसे फ़र्क़ ही नहीं मुझसे
अब भूल जाएं मोहब्बत का ज़िक्र कब आता है

शायद अपना कुछ यूँ भी होना मुश्किल है
जहां नहीं आना चाहिए वहां ‘ मैं ‘ आता है

अबकी मिलेगा जिस दिन तो लिपट जाएगा मेरे सीने से
ये दिन आता है तो ख्वाब में ही क्यों आता है

वो फूल है, सब के लिए महकता है ‘कर्ज़दार’
तुम बताओ, तुम्हारे लिए क्या ख़ास आता है?

Wese Sab Aata Hai In English

Dil Mein Kuchh Hota Hai Muh Pe Kuchh Aata Hai
Maut Aati Hai Unke Saamne Wese Sab Aata Hai

Jab Parkha Qaaynaat Ko Humne To Ye Parkha
Jo Nahin Aana Chaahiye Wo Pasand Aata Hai

Mushkil Padta Hai Jhoot Kehne Mein Logon Se
So Khud Se Jhoot Kehne Ka Hunar Aata Hai

Jo Mehfilon Mein Mera Naam Bhul Jaata Hai Aksar
Laanat Hai Ki Usse Pyaar Ka Aitbaar Aata Hai

Mudda Phir Ye Hai Ki Use Farq Hi Nahin Mujhse
Ab Bhul Jaayein Mohabbat Ka Zikr Kab Aata Hai

Shaayad Apna Kuchh Yun Bhi Hona Mushkil Hai
Jahaan Nahi Aana Chahiye Wahan ‘Main’ Aata Hai

Abki Milega Jis Din To Lipat Jaayega Mere Sine Se
Ye Din Aata Hai To Khwaab Mein Hi Kyun Aata Hai

Wo Phul Hai, Sab Ke Liye Mehkta Hai ‘Karzdaar’
Tum Bataao, Tumhaare Liye Kya Khaas Aata Hai
Share It

Follow on Instagram

CLICK HERE TO GET THE BEST SHAYARI IMAGES ON YOUR INSTAFEED

You May Also Like